Khatm ho jaayega mera kirdaar
Jis tarah se kahaani chal rahi hai
ख़त्म हो जाएगा मेरा किरदार
जिस तरह से कहानी चल रही है-
Umr humne ye gavaayi bhi nahiñ
~ Shad
Teri zeenat hai jin se, baam-e-falak,
Meri aankhon ke khvaab hain saare
तेरी ज़ीनत है जिन से, बाम-ए-फ़लक,
मेरी आंखों के ख़्वाब हैं सारे-
Pankha , rassi, dard-o-gum aur tanhaayi
Apne matlab ke sab saamaañ hain ghar mein
पंखा, रस्सी, दर्द-ओ-ग़म और तन्हाई
अपने मतलब के सब सामां हैं घर में-
Ye duniya Kumbh ka mela hai shayad
Kahin dikhta nahin bichchda humaara
ये दुनिया कुंभ का मेला है शायद
कहीं दिखता नहीं बिछड़ा हमारा-
Malaal apna mujhe jeene nahin deta
Kayi dukh hain ki jo marne nahin dete
मलाल अपना मुझे जीने नहीं देता
कई दुख हैं कि जो मरने नहीं देते-
Sar mein sauda nahin to ishq nahin
Sar-e-aashufta sar na dekh apna
सर में सौदा नहीं तो इश्क़ नहीं
सर-ए-आशुफ़्ता सर न देख अपना-
Dil bhi Kashmir saa kharaaba hai
Aap saamaañ hai, apni vahshat ka
दिल भी कश्मीर सा ख़राबा है
आप सामां है अपनी वहशत का
( Rest in Caption )-
Bhala usko misaal kis ki dein
Abhi khud jo misaal ban raha hai
भला उसको मिसाल किस की दें
अभी ख़ुद जो मिसाल बन रहा है-
Shor tha mujh mein, be-kali ka sabab
Jab main khaamosh hua to baat khuli
शोर था मुझ में, बे-कली का सबब
जब मैं ख़ामोश हुआ तो बात खुली
( Rest in Caption )-
Tum jise intiha samajhte ho
"Shad" wo ibtida tumhari hai
तुम जिसे इंतिहा समझते हो
"शाद" वो इब्तिदा तुम्हारी है-