Fikr ki shama se idraak ko raushan kariye
Ho gayi Aql Badi, Umr ko Bachpan kariye-
Bazme zindaan me hi rahte to wo behtar hota,
Qaid me kar gayyi hai ab ye rihaayi mujhko-
Tujh par Sab kuch luta kar haste haste jaan de di hai,
Hamare mulk ne aise bhi deewane banaye hain.-
Watan ki paasbani Jaan o maal se bhi afzal hai,
Main apne mulk ki khatir kafan bhi sath rakhta hoon-
Zindagi Chain se jeene bhi kaha deti hai
Marne lagta hu to Marne bhi kaha deti hai-
Dawa e La ilaaj e marz hai khamoshi
Sukoon e zindagi ka tarz hai khamoshi-
Shikwa na shikayat, Na koi Tawaqqo,
Zindagi le tujhe aasan kar diya maine.-
Wo Jo Bole to har ek lafz dua hoti hai
Maa ki tareef kya karu, Maa to Maa Hoti hai-
"Mujhe itna ameer banna hai jitna Log mujhe samajhte hain,"
"Aur Itna Gareeb Dikhna hai Jitna k log mujhe dekhna chahte hain"
-
ज़रा सा मुस्कुराए हम, जरा सा मुस्कुराना तुम,
गले तुमको लगायें हम, गले हमको लगाना तुम
चलो हम साथ मिल जुल कर ऐसे बांट लें खुशियां,
इधर जुमा पढ़ेंगे हम, उधर होली मनाना तुम-