Mohobbat hone hi lagi thi unko bhi humse
Kambakht ye subhe ka sawera aankho me aagaya-
Har baat par nuks nikal ne lage hai hum
Jara deedar e Ishq ho jaaye toh
Bigdi aadat sudhar jaaye-
Aye dariya sahil jalta hai
Yoon lehre wehre na dikhlaya karo
Na jaane konsa ashiq tumpar doob jaaye
Mohobbat mohabbat na batlaya karo-
Jo mera akhri din ho or mai hawa bankar badalo me ghul jaau
Toh barishon me bheeg kar mujhe yaad karlena
Jo bund bankar tere samne barsu
Toh bheeg kar mujhe gale laga lena
Jo khadke bijli aasman me joor se
Mai naraz hu samjh kar mujhe mana lena
Jab mai guzar jaau mere lautne ka intezar karna
Aasman ko dekh barish ka intezaar karna-
Barish me aansoo chupaye toh chupaye kaise
Jab mosuam hi unki aankho ka gulam nikla-
Aanchal me tere main ishq dhundta hoon
Jism chod main rooh chumta hoon
Hongi wafa karne waali laakho
Un laakho ko chood main tujhe chunta hoon-
Aab arzoo bhi kya karoge Sahil se
Jab pura dariya hi unhone aapke naam kardia-
Masruf e intezar me hai ye ishq mera
Jara koi kahe unhe zulfein bikher do
-
Ishq par humein bhi bharosa na tha
Jab tak fizaon me lehrate
teri zulfo ko na dekh liya-
Yeh shayar bhi bade anokhe hote hai
Shabdon ke khel se
Zindagi ka khel samjha dete hai-