Md sabit Nouman   (Sabit)
155 Followers · 87 Following

read more
Joined 15 February 2018


read more
Joined 15 February 2018
12 MAY 2022 AT 13:11

Adhmara dil abhi tak zindaa kyu hai?
Tapakta hua lahu sharmindaa kyu hai?

Tumne sahi se gardan kyu nahi dabayi
Jaandaar abhi tak ye parinda kyu hai?

Asaan maut ki usne takleefein badha din
Aaj aya samjh ki wo darinda kyu hai

-


11 MAY 2022 AT 10:28

Jhoothi khanjar ko ishq hua gardan e sach se
Dono mile or muhabbat tamaam hui khach se

Jiske sir pr tha inaam, mar gya ishq se
Qatil zeher gholte hi reh gye chammach se

-


5 MAY 2022 AT 14:48

Banjar seene me dil abaad nhi krte to kya krte?
Barbaad dil ko or barbaad nhi krte to kya krte?

Badi shiddat se usne kisi k liye mannat manga tha
Ham apne parinde azaad nhi krte to kya krte?

-


25 APR 2022 AT 23:26

Ehtiraam e ishq ka sabab itnaa mil sakega kya?
Wuzu se bheege chehre ko, dupattaa mil sakega kya?

Andhera kamra, do jehnamaaz , main tm or khuda
Khoobsurat isse bhi zyada koi sajdaa mil sakega kya?

-


13 MAR 2022 AT 15:28

Deewar e dil par ye baat lagti to thi
Aye dost, tujhse muhabbat, ghalti to thi

Hajat e Ishq tmse bakhuda ab bilkul nahi
Tavaqqo-e-inayat-e-dosti hai, dosti to thi

Nadamat-e-qatl-e-dosti reh na jaaye kahin
Zehan me hamesha ye baat atakti to thi

Muhabbat ke khanjar se hua dosti ka qatl
Khair dosti pr ishq ki talwaar, latakti to thi

-


14 JUL 2020 AT 1:51

Wo mere khwaab ki tabeer nahi hai
Faqat muraad hai, taqdeer nahi hai

Uspr main jabran kaise kabza krta?
Wo mere baap ki jaageer nahi hai

Maine ye keh kar uska hath jhatak diya
Mere Hath me ishq ki lakeer nahi hai

Main nashe me bahir nhi nikalna chahta
Saaqi tere paas koi zanjeer nahi hai?

Main bhala khojun to kis tarah khojun
Bhulai hasi ki koi tasweer nahi hai

-


7 JUN 2020 AT 18:16

Its all about,
How u see your devil of your mind.
Though being cruel who acts too kind!
Acts too kind..

Coz in your head,
You know whats all going around.
Air seems pleasant but the ground??
But the ground!!..

Its fielded with
toxic thoughts and ugly feelings.
Bad businesses and devilish dealings.
Devilish dealings!!

And then everytime,
You commit a crime against ur soul.
In you own eyes you badly fall.
Badly fall!!

But then you try,
To overcome it and do a good deed.
Try to feed your soul and tame ur greed.
Tame ur greed..

While all this time,
Devil smiles in the darkness of your brain.
Being confident u will murder once again..
Once again!!

-


13 MAY 2020 AT 2:43

Asli qatil jo the wo faraar hue
Khanjar nikaalte hue ham giraftaar hue

Dawa ab tk nahi hui hame naseeb
Zamana beet gya beemaar hue

Itni sasti soch bhi hoti hai wajood me
Qeemat dekh hairaan kharidaar hue

Dil lekar haath me usne kaha kitna hua?
Hmne bhi nawabi me keh diya hazaar hue

Tm muhabbat ki baat krte ho miya
Yahan to bewafa jigri yaar hue

Lo ab hamne bhi kisi ko dhoka de diya
Gale milo Ab ham tmhare jodidaar hue

Wo jo ab tk bada chehek rhe the bazm me
Ro pde jo unke naam mere do ashaar hue

-


18 APR 2020 AT 20:25

Guzre sitam aaj yaad kiye jayein..
Barbaad dilon ko or barbaad kiye jayein..

Keh kar bula liya saari buri yaadon ko,
Anjuman lagi hai, anjuman abaad kiye jayein..

Kyi roz se chah rha tha aankh wuzu krna,
Aaj chalo kch qatre azaad kiye jayein..

Puraane zakhmon se ab man bharna lga hai,
Unse kaho naye zakhm ab ijaad kiye jayein..

Manhoos lamhon ki anjuman hai,
Khraab ghazlein irshaad kiye jayein...

-


20 MAR 2020 AT 2:31

Sar par rkh kr raah dikhaya jata hoga..
Ek din mujhe is tarah saraahya jata hoga..

Ek taraf rote honge mere ahl-o-ayaal,
Ek taraf mujh ko nehlaaya jata hoga..

Ek Safed tukda aya hoga mere naam pr,
Mere jism ko kafan pehnaya jata hoga..

Saf-dar-saf lage honge log dekhne ko,
Aakhri baar mera chehra dikhlaya jata hoga..

Har ek nafs ko maut ka maza chakhna hai,
Mera jism dikha kar ye sunaya jata hoga..

Cheekh uthega mera ghar bahot tez,
Dheere dheere mera janaaza uthaya jata hoga..

Hoga mera jism imaam ke aage,
Or uske peeche saf banaya jata hoga..

Thode bahot log honge kisi qabrastan me,
Kisi qabrastan me mujhe dafnaya jata hoga..

-


Fetching Md sabit Nouman Quotes