Baag ke phoolon ki tarah mahekta dekha
Aur Fir kabhi koyle ki tarah sulagta dekha
Umr kam hai par tajurbe bahot zyada hain
Ye na pucho itni si umr me kya kya dekha
Manmarziyon ke silsile uruj par ja pahunche
kya kahun jo dekhna tha bas wahi na dekha
Itne saliqe se daga de raha tha wo mujhe
K Maine sab dekha magar kuch nahi dekha
Kaun sachcha hai kaun jhutha hai yahan
Koi dekhe na dekhe magar khuda ne dekha-
Baag ke phoolon ki tarah mahekta dekha
Aur Fir kabhi koyle ki tarah sulagta dekha
Umr kam hai par tajurbe bahot zyada hain
Ye na pucho itni si umr me kya kya dekha
Manmarziyon ke silsile uruj par ja pahunche
kya kahun jo dekhna tha bas wahi na dekha
Itne saliqe se daga de raha tha wo mujhe
K Maine sab dekha magar kuch nahi dekha
Kaun sachcha hai kaun jhutha hai yahan
Koi dekhe na dekhe magar khuda ne dekha
-
Aap to aaye the faqat laut k jane k liye
Aise jana tha fir aapko aana hi nahi tha
Khud hi chhat jane the ye udaas mausam
Aapko itne pyar se manana hi nahi tha-
Wo mujhe mere haal par chhor bhi sakta tha
Par use mere gham me izafa bhi to karna tha
Kaise maan leta wo khud se hi apni sari galti
Use sab ke samne Tamasha bhi to karna tha
Mohabbat ki tijarat me nafa nuqsan kise sujha
Is dhande me sab ko khasara bhi to karna tha
sab kuch chhor kar ab nayi manzil ki janib chal
K kissa khatam hamko tumhara bhi to karna tha
Parindon ne hai sikhlaya zamin par lautna faisal
K Jo bhi hai bacha usme guzara bhi to karna tha
-
Suhana mausam hai Aasman par Abr hai
Taj mahal kitna hasin hai magar Qabr hai
Tum apne haal par itna pareshan kyu ho
Khuda uske sath hai jiske andar sabr hai-
Mere Pas Teer bhi hai kamaan bhi hai
Nishana laga tha jahan nishan bhi hai
Ye zindagi jo itni khushgawar lagti hai
Dar asal Yahi jung ka maidaan bhi hai
Chehre par hasi odh kar ghum raha hai
Wo shakhsh andar se pareshan bhi hai
Jo de rahe the tohfe me gham beshumar
Wo Haal dekh kar mera hairan bhi hai
Yahan Zameen bhi hai aasman bhi hai
sunane ko abhi ek aur dastaan bhi hai
Awaaragi me ghumte hue sham ho gayi
Fir yaad aya apna kahin makan bhi hai-
Hamko us shaher se koi wasta nahi
Jahan ek sath chalne ko raasta nahi
Bekhauf hai shaher aaj apni gurur me
Qatl karne me bhi hath kaanpta nahi
Qismat ko dosh dena aasan kaam hai
Apne gunah magar koi talaashta nahi
Shayad bahot masroof hain sabhi apne
Galti hone par bhi koi ab dant-ta nahi
Jane kitna waqt guzar gaya yaad nahi
Ab tak us shakhsh se koi raabta nahi
Aise Guzaarta hu main ab waqt faisal
Jaise is Ghar me mujhe koi janta nahi
-
Apne andar ke dasht me chupa tha kahin
Usne pucha kaun ho maine kaha pata nahi
Mustaqbil sanwarni hai haal me jina hai ab
yaadon se guzarish hai mujhe aur sata nahi
Suni sunayi baat na thi ankhon dekhi thi
Apni safai paas rakh par mujhko bata nahi
Maazi ko yaad karke kisi ko kya ilzam dena
Ha Jao sabko muaf kiya kisi ki koi khata nahi
-
Mareez gunge the jo kahne lage hain
Bahre shikayat shor ki karne lage hain
Buri Aadat hai sabko dost bana leta hu
Ab kuch log aasteen me rahne lage hai-
Itni aasani se kisi k bas me nahi aane wala
mazmoon ki tarah lifafe me nahi aane wala
Koi tumhe door se bhi dekhe to yaad rahe
Ye parinda kisi pinjre me nahi samane wala
Ab is mod par galti ki koi bhi gunjaish nahi
Yahan Ab nahi milta hai koi samjhane wala
Aisa haal bana rakha hai k sabko hairat hai
Tumhari taraf hi dekhta hai aane jane wala-