Tum agr yunhi mujhse nazrein milate rhe
Maikashi mere dar se kaha jaegi
Aur ye silsila mustaqil ho to phr
Bekhudi mere dar s kaha jaegi...!
Tu ne jo gam diye wo khushi se lye
Tujhko dekha ni phr v sajde kiye
Itna mazboot h jb aqida mera
Bandagi mere dar s kaha jaegi...!
-
Dil k chaale dikh pde daaman k daag se...!
Mere ghar ko aag lg gyi ghr k hi charaag se...!-
Ab wapis jaane ka safar itna aasaan na hoga...!
Hum aankh se nikal chuke hain aansu ki tarah...!-
Dhoondoge Ujrey Hue Rishto Me Wafa K Khazane...!
Tum Mere Baad Meri Mohabbat Ka Aehtaraam Karoge...!-
Insaniyat waha dum tod deti h..!
Jahan ek insan ki musibat dusre k lye tamasha ban jaye...!-
Tu Ek Waqt Tha Jisko Bhula Diya Maine
Har Ek Yaad Ka Gulistan Jala Diya Maine
Whi Pyr Jiske Qasidey Kayi Likhe The kvi
Kitaab-E-Dilse Wo Unwaan Mita Diya Maine
Thi Apni Manzilein Hasrat Jo Ek Mohabbat Ki
Ussi Mazaar Ka Manzar Bana Diya Maine
Na Tumse Koi Gila Hai Na Ab Shikayat Koi
Tmhari Raah Se Khudko Hata Diya Maine...!-
Saari Khalqat Rula ke SONA HAI...!
Usko Jisdin Bhula ke SONA HAI...!-
Chehre Pe Gard Paon Me Safar H Ke Ni
Tu Dekh K Meri Manzil Pe Nazar H Ke Ni
Jaa Apne Liye Dhoond Le Kisi Ahl-E-Mahal Ko
Na Jaane Meri qismat Me Ghar H Ke Ni
Tere Paas H Abhi Aur Dard To Wo v Mujhe De
Na Poochh K Mujhme Aur Sabr H Ke Ni
Meri Neendein To Mar Chuki Hain Ratjagon K Haath
Tere Khwabon Ko V Koi Aisa Dar H Ke Ni?
Ye Soch K Le Aaya Hu Mai Jungle Se Kuch Jugnu
Na Jane Ab Qismat Me Sehar H ke Ni...!-
shola hu bhadakne ki guzarish ni karta
sach mu se nikal jata h koshish ni karta
girti hui deewar ka hamdard hu lekin
chadhte hue suraj ki parastish ni karta
mathe k pasine ki mehek aye to dekhein
wo khoon mere jism me gardish ni karta
hamdardi-e-ahbab se darta hu ‘AKRAM'
mai zakhm to rakhta hu numaish ni karta-
Kuch Unki Adaaon Ka Talabgar Bohot Tha
Kuch Apni Anaaon Se Mujhe Pyar Bohot Tha
Socha Tha k Pa Lunga Use Ek Na Ek Din
Pehli Si Mohabbat Pe Aitbar Bohot Tha
Manzil Kaise Naseeb Ho Tere Pyaar Ki
Rasta Jo Tere Ghar Ka Pur-israar Bohot Tha
UsNe Kuch is Andaz Mein Izhar Kiya Tha
Iqrar Kam, Iqrar Me Inkar Bohot Tha
MujhKo Faqat Pyar Me Ruswaaiyan Mileen
Shayad k Mohabbat ka Gunahgar bohot tha...!-