Kammane ki sab se behtreen cheez izzat aur kharch karne ki sab se behtreen cheez ilm he
-
Akhlaaq aur zarf ka imtehaan talluq ke khaatme ke baad shuru hota he
-
Gareeb maange to bheek , Ameer maange to chanda , crore pati maange to donation , Arabpati maange to subsidy ,yaha sab apne apne level par maangte hein
-
Agar Allah taala kuch de to use chhupaane ki koshish karo kiyu ke nemato ko dekh kar kuch log mohabbat karte hein aur hasad ki nazar aadmi ko khaa jaati he
-
Hamare muaashre mein ikhtilaaf rakho to badtamizi ho jaati he aur sach bolo to be adbi hojaati he aur kuch na bolo to munafaqat hojaati he
-
Mat bano khuli kitaab kisi ke liye ,jahalat ka daur he padh kar phaad diye jaaoge
-
Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchhe maal se tabdeel na kiya karo. ( Sura_e_ Nisa : 2)
-
Rasoolallah ne farmate hain ki agar tumne kisi musalman ko ek lukma khilaya to tumhare or jahannam ke darmiyan 70 hazaar saal ka fasla paida kar diya jata hai
-
Hazrat umar raziyallahu anhu se riwaayat hai ke nabi- e -kareem ne irshaad farmaaya : khattaab ke bete !, Jao ,logon mein yeh elaan kardo ke jannat mein sirf imaan wale hi daakhil hongey
-
Hazrat Usman raziyallahu ' anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ne irshaad farmaaya : jis shakhs ki maut Is haal mein aaye ke woh yaqeen ke saath jaanta ho ke Allah taala ke siwaa koi maabood nahi woh jannat mein daakhil hoga
-