kuch baatein din ki
toh kuch baatein raaton ki
bas kagaz ke panno mein kaid reh gayi-
Zehar peena pade bhi toh kya
ummeed abhi baki hai jeene ki
kya ye wajah kaafi nahi sason ko chalne ke liye!-
sampannata agar vicharon ki ho
toh insaan lakshya ko paa sakta hai!-
simat jau ya bikhar jau
tasveeron mein kaid ho jau
ya khudmein sama jau
-
Tukade hote fir bhi jod lete
ruksat ki yaadein fir ek baar hum sanjokar padh lete
shaamiyana mere jazzbaton ka jalane se pehle thoda sabra toh kar lete
Jhoothi tassalli na dete magar insaniyat ko kuch waqt ke liye apna toh lete!
-
You can be the thoughest competition if you believe in your mighty thoughtful thoughts!
-
I do not belong here my place is there where I can breathe and live in solitude!
-
Tumhe sukoon de rahe hai
ha mujhe bhi de rahe hai
magar gham is baat ka hai
ki dono chuppi se gheere huye hai!-
sab waqt ka khel tha
ab tum bhi sun lo
jab waqt tum par ayega tab waqt ke khel ko apna jarur lena-