Tujhe Dua'on me Maangna sahi hai toh,
Dua'on se Ummeed lagana galat kyu;
Tujhe Paane ki Chahat sahi hai toh,
Tujhe Khone ka Khouf galat kyu;
Tera Intezaar karna sahi hai toh,
Naa milne par Bikhar jaana galat kyu...
-
Saari Khwahishein Puri karne ki Zidd,
Kahi koi Khwahish Adhuri reh jane ka Darr;
Tumhe din raat jaga ke bebas kar deti hai...
-
Woman, oh Womania....
When demanding for equal rights,
Why celebrate yourself just for a day.
Why get inspired with a thought of freedom and equality,
When the Home - the base, the root is all about enduring the inequality and discrimination as Woman.
-
Aankhein bandh ho, ya khuli
Khwaab dekhte hi rehte hai
Bandh aankhon se dekhe khwaab shayad sulajh bhi jaye,
Bandh aankhon se dekhe khwaab se koi ummeed nahi hoti
Tum khuli aankhon se dekha wo khwaab ho,
Jo haqiqat-e-lazmi ummeedein jaga ke uljhan me daal de...-
Jab Dua puri naa ho,
Tab Dua maangne ka har pal,
Yaad aake har pal rulata hai.-
Raasta bhatakne pe jab kadam ladkadayein,
Anjaane me galat raah pe chal diye,
Khudko humne bahut Kosa, baddua bhi di,
Hosh aaya toh Ehsaas hua ki baddua saari qubool ho gayi.
Kabhi jo khudko baddua di thi, usse jyada Baddua ko Dua me aur Shikayat ko Rehmiyat me tabdil hone ko gidgidaye hai.
Dua ho ya Baddua,
Jo bhi Shiddat se maango, Kaynaat use pura jarur karti hai.-
Kehte hai jo hota hai, Acche ke liye hota hai.
Lekin ye Daur itna Bebas kar deta hai ki,
iss Bebasi ko Sabr ka naam dekar Khudko Tasalli dete hai aur Haalaaton se Samjhauta karne lagte hai.
Phir iss Soch me Doob jate hai ki isme
Accha Kya Hua...
-
If there's a horizon/event where you have to step into the Black hole,
Then on a contrary...
There will always be a horizon/event where you can step out of Black hole.
-
Bachpan ki Zidd kuch iss Qadar thi,
Subah ki Khwahish Shaam tak puri ho jati,
Ab bhi hum mein wohi Zidd hai,
Bas fark itna-sa hai ki,
Tab auron se Zid puri hone
ki Ummeed rehti thi,
Ab Khudse hai!-