"Kabhi socha hai kya k khwab jo muqammal nahi hote,
humne dekhe hi wahi khwab jo muqammal nahi hote,
koi to manzil hoti hogi inki apni bhi,
kahan jaate hain ye khwab jo muqammal nahi hote,
toot'te taare is firaaq me k zamin par aayenge,
kuchh taaron k kuchh khwab jo muqammal nahi hote,
har roz mujhe sulane ki nakaam koshish raaton ki,
kuchh raaton ke bhi khwab jo muqammal nahi hote."-
"Ye maut ek ek din ki mohlat deti hai,
Faqeer-e-zindagi ko daulat deti hai,
Humne thukra di jab taj-e-umra yahan,
Ye zindagi hai jo hukumat deti hai,
Wo jinhe maloom hi na ho rasm-e-mohabbat,
Ye zindagi aise logon ko mohabbat deti hai,
Pehle kisi ka jeena ba-mushqil kar ke,
Fir zindagi jeene ki naseehat deti hai,
Ta-umra guzaar di humne gumnami me jee kar,
Baad-e-inteqal ye duniya shohrat deti hai,
Aye farishte le chal mujhe ab der na kar,
Suna hai kudrat shayaron ko jannat deti hai"-
"Kareeb jaane par pahaadon ki bhi asaliyat pata chali,
Wo khoobsurat tabhi the jab talak door the."-
"Kisi ko andar hi andar tod jaane waale,
Beraham hote hain kya ye chhod jaane wale,
Jin dar-o-darwazon se subah-o-shaam vaasta raha krta tha,
Un dar-o-darwazon se muh mod jaane wale,
Wo jo milte hain mahaz chand lamhon k liye,
Fir ta-umra ke liye rishta jod jaane wale,
Jinhe bas meri ik aah se taqleef hua karti thi,
Dard-o-gam me tadapta chhod jaane wale,
Maine poori shiddat se aawaaz lagaayi jinko,
Mud kar bhi na dekhe us or jaane wale"
-
"Be-dil, be-wafaon ka zafa nahin badla,
Mera mehboob be-raham be-wafa nahi badla,
Wo kabhi milne aaye kahin aur main na milun,
Bas isiliye maine apna pata nahi badla"-
"Na jaane kitne raaz hum chhupaaye baithe hain,
Khud hi ke dil me aag lagaaye baithe hain,
Kabhi aanch bhi na aane diya uske aabru pe,
Aur apne daaman pe saare daag lagaaye baithe hain"-
"Ab wo roz roz tujhe yaad karne aadat na rahi,
Yaqeen kar ke ab zara si bhi mohabbat na rahi,
Tu ek arse tak shaamil rahi mere har kahaniyon me,
Tu ab kisi bhi tarah ki zaroorat na rahi"-
"Baad-e-daftar duniyadaari se kinaara karke,
Main ik Diwar-e-makan ka sahara karke,
Wo waqt jb uske sath chalne ki koshish krta,
Wo aage jaate mujhe door door chalne ka ishaara karke,
Kitna tarsa uske paas aane ko usse door rehkar,
Aur khush the wo meri mohabbat ko nagawara karke"-
"Kuchh to nudrat-e-ada ke maare hum,
Roz-b-roz yun dil se haare hum,
Mustaqbil me dil-e-khwahish hai k tu ye iqraar kare,
K qayamat ke liye tere hawaale hum"-
"Aur kya chahiye tha mujhe bas thodi si mohabbat aur kya,
Aur kya de na ske wo, bas thodi si mohabbat aur kya"-