मुहब्बत की दलीलों को मेरी बड़ी ही खूबसूरती से झुटलाया है
"मरहम" से दर्द बनने का सफ़र तुमने कुछ यूं तय किया है-
Teri muskurahat ghar me gunz rahi hai
Teri khusboo se har cheez mehek rahi hai
Tere ehsaas mere ashqon ko nhi rok paa rhe hai
Yeh kaisa dard hai mujhme teri yaadon ka-
Kal humare muhabbat ka imtehaan tha
Humne bhi pura parcha tere naam se bhar diya-
Woh hume muhabbat ki tehzeeb sikha rhe hain
Hum toh nafrat bhi tameez se krte hain-
Yeh alag baat hai ki Mera Taj Mahal uske seher me basa hai
Warna khubsurat toh mera seher bhi tha-
Teri nazron ka hume yun nazar andaaz karna
Hume aaj bhi yaad hai aye "marham"
Tera yun chale jana, han woh, alvida kehne ka andaaz tera
Ruke rehna humara yun, hume aaj bhi yaad hai
-
Ab me dard bhi likhta hun aye "marham"
Aur log use meri muhabbat padhte hain-
Tere gali ke gaddhe aur meri dheemi cycle aye "marham"
Phir ek din un gaddhon ko sarkar ki nazar lag gyi😏-
Har baar ise bas yun hi sil liya karenge aye "marham"
Hasi me teri yun hi apni khusi dhund liya karenge-