MANU SAXENA   (Oneaboveall)
50 Followers · 339 Following

Joined 17 March 2020


Joined 17 March 2020
7 FEB AT 23:13

Muskurahat bohut achi hai meri
Bas muskurane ki wajah dhundh raha hu
Apne iss bure waqt mai
Khushiyon ki raah dekh raha hu

-


19 NOV 2020 AT 12:39

Wo ek dam se tera jana yaad aata hai
Ye baat yaad karke naa jane kyu rona saa aa jata hai
Dil or dimag mai tera chehra najar aata hai
Kya kahu mai iss baat par
Wo ek dam se tera jana yaad aata hai

-


18 NOV 2020 AT 9:53

Ek sapna jo nind ujaad deta hai
Naa jaane kyu dukh hajaar deta hai
Khush chal rahe iss dil ko bigaad deta hai
Ek sapna jo nind ujaad deta hai

-


18 NOV 2020 AT 9:26

Ek din chala jauga
Tumse dur reh kr bhi tumko pas pauga
Tumhare bina shayad jee naa pauga
Fir bhi ek din chala jauga

Shayad humare raste alag h
Shayad hum kabhi ek se the hi nahi
Par mai tumko fir bhi chahuga
Ek din chala jauga

Socha naa tha ki kuch aisa ho jayega
Din raat bas tumhara hi khayal ayega
Par ab mai khud ko or smjha na pauga
Ek din chala jauga

-


17 NOV 2020 AT 13:22

Hum fir bhi muskura rhe the
Zindagi mai ki galati ko bhula kar aage jaa rhe the
Socha tha ki thik hoga sab kuch ek din
Par uss ek din ke liye naa jane kitne din barbaad jaa rhe the
Par hum fir bhi muskura rhe the

Manjil ko paane ki chah mai aage badte jaa rahe the
Yaha naa toh koi sath tha
Naa hi dusro par vishwas tha
Ab toh apne bhi taana suna rhe the
Par hum fir bhi muskura rhe the

-


17 NOV 2020 AT 13:00

Koshish

Teri inhi koshisho me mujhe tera bana diya
Mushkil halaat me bhi ladna sikha diya
Sabse dur ho kar bhi pas rehna sikha diya
Teri inhi koshisho ne mjhe tera bana diya

Mera wo bhukhe pet soo jana
Tera mujh par gussa ho jana
Ki tujhe to abhi ke abhi kuch khana
Teri inhi adato ne mujhe kuch apnapan dikha diya
Teri inhi koshisho me mjhe tera bana diya

Itna dur ho kar bhi mujhe fesle lena sikha diya
Mushkil waqt me bhi shant rehna sikha diya
Har sachai se mujhe rubaru kara diya
Teri inhi koshisho ne mjhe tera bana diya

Tere sath reh kar har waqt ko haste haste bita diya
Sach kahu to chori krna bhi sikha diya
Or kahi naa kahi baate chhupana bhi sikha diya
Me aya pehle tha par ab akhri hu
Par tere hmesha sath dene wali baat me mene baki sb kuch bhula diya
Teri inhi koshisho ne mujhe tera bana diya

Teri inhi koshisho ne mujhe tera bana diya
Khush reh kar jeena sikha diya
Apni preshani chod kr sbki sunna sikha diya
Or kabhi kabhi sunana bhi Sikha diya
Teri inhi koshisho ne mujhe tera bana diya

Teri inhi koshisho ne mujhe tera bana diya
Tum sabne mjhe kuch naa kuch sikha diya
Sach kahu to tum jesa bana diya
Teri inhi koshisho ne mujhe tera bana diya

-


17 NOV 2020 AT 12:41

Rishtey jo jeena sikhate hai
Rishtey jo sath rehna sikhate hai
Rishtey jo tujhe mere kareeb laate hai
Rishtey jo dosto ko bhi apna bnate hai
Rishtey jo har waqt yaad aate hai
Rishtey jo har baar kuch naya sikhate hai
Rishtey jo kabhi dil tod jaate hai
Rishtey jo hmesha apne paas bulate hai
Rishtey jo hume ek behtar insaan bnate hai
par ek din hum inn rishton ko chod iss duniya se chale jaate hai
uff ye Rishtey!!!

-


17 NOV 2020 AT 12:03

Ek din manjil tak pahuch jayege
Kisi ko pichhe chodege nahi sabko sath leke jayege
Andhere rasto par apni chamak chodd jayege
Mushkilo ko paar karke dusro ko rasta dikhayege
Ek din manjil tak pahuch jayege

-


17 MAR 2020 AT 19:40

Main waqt se thoda pichhe hoon
Us asmaan ke niche hoon
Koshish meri jaari hain
Zameen se udane ki taiyari hain

Udane ki koshish mein pichhadta jaa raha hoon
Par khud ko sabse alag bna raha hoon
Lakho ki iss bheed mein akela chala jaa raha hoon
Par koshish meri abhi bhi jaari hain
Zameen se udane ki taiyari hain

Na hi koi lakshya hai
Na hi koi manzil hai
Bas iss safar ka maza utha raha hoon
Ek lambi udaan bharne jaa raha hoon
Koshish meri jaari hain
Zameen se udane ki taiyari hain

-


Seems MANU SAXENA has not written any more Quotes.

Explore More Writers