Mansoor Shaik   (NotTheOne)
37 Followers · 48 Following

read more
Joined 13 December 2017


read more
Joined 13 December 2017
9 FEB AT 1:34

Hum unko chaand samajhte the,
Wo sitaron main baste the,
Chaukat se nikle toh pata chala,
Pathhar ke liye hum taraste the....

-


21 SEP 2021 AT 23:35

Badi hi shararati hoti hai ye baarish ki bhoondein.....

Kisi par ek boond tak barasti bhi nahi,
Magar kisiki yaad dila ke aankhon se barasti hai....

Kisi ke hone ka ehsaas ko aur buland bana deti hai,
Toh kahi kisi ke na hone ka ghum rula deti hai....

Bachpan ke paper wali boat ki daastan yaad dila deti hai,
Toh bachpana beet gaya wala baat bhi yaad dila deti hai....

Kisi ke first kiss ki yaadein taaza hojathi hai,
Kisi ke aakhri baar milne ki kadwi yaadein firse yaad aajati hai....

Badi hi shararati hoti hai ye baarish ki boondhein....

-


4 SEP 2021 AT 1:24

Ye jo "You can talk to me anytime" waale log hai,
Ye aksar hote kyun nahi hai....

Kisi ka haal poochne ke liye,
Kisi ka marna jaruri hota hai kya,
Jo behaal hai, uska haal koi poochta kyun nahi,
Har koi koi haadse ka intezar kyun karte hai....???

Kyun apne aajkal maine nahi kartey,
Kyun jo apne hai, wo apne nahi rehte,
Kyun main aaj ye sawal kar raha hun,
Kyun main bhi in jaisey reh raha hun...

Aaj kisi apne ko khone ka darr kyun satha raha,
Jabki jo apne hai, unse apna pan hamesha kyun nahi jata paa raha,
Wo kehte hai, hamesha yaad karna jaruri nahi hota,
Magar kya ye har case main sach thodi hai....

Apne hote hi hai yaad karne ko,
Apne hai tabhi toh yaad karo, haal poocho,
Kya pata aaj tumhara aankhri saans lene ka din na hojaye...

-


16 JUL 2021 AT 23:14

Tujhse pyaar karna,
koi katll se kam nahi tha....

Ek nazar ke liye tadapthe the,
Tujhpe koi zor nahi tha....
Wafa toh tu kabhi nibha nahi paayi,
Tujh main wo jazba nahi tha...

Khair ek pal ke liye sahi,
Shiddat se mohabbat karti mujhe...
Tu toh woh bhi nahi karpaayi,
Jaisey ki tere seene main dil nahi tha....

Tujhse pyaar karna,
Koi katll se kam nahi tha...

-


10 JUN 2021 AT 23:14

Main ek adhura sa panna,
Wo poori kitaab hai....
Main paani ki bottle
Aur wo Vilayati sharap hai...
Jaakar poocho usse,
Kyun choda mujhe ???
Ye jo uski masumiyat hai,
Kya ye adaa hai, ya nakli naqaab hai....

-


5 JUN 2021 AT 22:14

Pairon pe gir kar, kya hi manau usse,
Ab iss Ishq main, wo baat nahi rahi...
Jo kehti thi, main rahungi hamesha tere saath,
Ab wo hi saath nahi rahi.....

Ishq ke aansu ab samundar ban chuke hai, Inka main kya karun,
Namak Bhara hai inmein, ab wo mitaas nahi rahi

-


30 MAY 2021 AT 0:55

Neend nahi aati aajkal,
Kuch khoya sa rehta hun,
Tumse kabhi kehta nahi,
Par aaj bhi tumhe yaad karta hun...

Shayad pagal hogaya hun teri yaad main,
Tum agar khwaab main nahi aati toh,
Raat bhat Karwatein badalta hun,
Tum jo aagayi toh aankhein khol deta hun...

Ya khuda tune ye kaisi saza di hai mujhko,
Raat meri dard bhari, aur subah unki suhani siii...

-


30 MAY 2021 AT 0:48

Ab mann karta hai,
Tere aankhon main doob jaane ko...
Magar tumne koi kasar nahi chodi mujhe rulane ko....

Ab mann karta hai,
Bhul jau saari wo yaadein jinmein tum ho,
Magar tumne acchi yaadein mein apni chavi basali....

Ab mann karta hai,
Firse ek aur baar tumpe apna dil lutane ko,
Magar tumne ab tak mera dil lautaya hi nahi....

Ab mann ki sunu, ya apni zid ki,
Main na mujhsa raha hun,
Aur tu naa rahi khud ki....

-


16 MAY 2021 AT 23:29

Bahut se kisse baaki hai tumse kehne ko,
Ek lambi umr lekar Khayalon main aaya karo....
Badi umeed lekar baithe hai tumhare intezar main,
Ya toh apna samjh kar nibhaya karo,
Ya dushman samajh kar jalaya karo....

-


9 MAY 2021 AT 0:17

Kuch mere toote hai sapne,
Jaate jaate ek wajah toh de jaati,
Kuch pyaar tha, azaan ki tarah pak,
Kabhi mujh par Thoda sa dikha paati...

Suna hai tum dusron se kehti ho,
Ke ab kuch nahi bacha hai karne ko,
Dua na sahi baddua hi dedeti mujhe,
Issi bahane haath toh udte tere, mera naam lene ko....

-


Fetching Mansoor Shaik Quotes