Jami par insan tha ab sitara ho gaya. kalalar Marta nahi Asma ko bhi pyara ho gaya. Padh Lena kitabo me. Dekh Lena tasveero me. Abhinay ke rangmancho me. Filmo ke kirdaro me. Kaun Khushi se marta hai. Mar Jana padta hai. Sham dhale har panchhi ko. Ghar Jana padta hai.. Jindagi ke Safarr ki train Yu hi chhoot jati hai . Chalo shukriya Mai chalta hu Asma ko bhi adakari sikhana hai.
-
Aao deep jalaye.. Aao deep jalaye.. deepon ki roshni se.. navchetna ko jagaye.. mita ke tamas ko.. har Kona Kona jagmagaye. Aao deep jalaye. Aao deep jalaye
-
Har Rasta manzil ki taraf nahi jata. kabhi kabhi raste gumrah karte hai. Har Aina tasweer saf nahi dikhata. Kabhi kabhi aine ko bhi saf karte hai.
-
Bas bat kuchh dino ki hi to hai. Ye sadke logo SE fir bhar jayegi. khelne niklenge bachchhe galiyo me. school base fir SE daud lagayegi. honge Roshan Bazar, mele fir saj jayenge. hogi mandiro me Pooja maszido me Azan fir padhi jayegi. man ko sadh ban tu sadhak Ghar me rahne ki dal adat. bas 21 dino ki bat hai pyare. zindagi kahar e korona SE Bach jayegi.
-
Bas itni si hi to khwahish hai meri ki khushiyo se sarabor ho Daman tera. Bas itni si hi to khwahish hai meri Ki khushbuo se mahke gulista tera. Bas itni si hi to khwahish hai meri ki Teri palko pe aanshu hotho pe narmi na ho. Bas itni si hi to khwahish hai meri ki teri chhoodiyo ki chamak ghungaruo ki khanak kabhi Kam na ho. Bas itni si hi to khwahish hai meri. ki Tere chehre ke Noor ko Chand bhi nihare. Bas itni si hi to khwahish hai meri. ki aaine me khud ko tu dulhan si savare.
-
" भुला हर गम को खुश हो लेता हूँ | तेरे हाथों से बनी चाय का स्वाद जब चख लेता हूँ | "
-
Log Khush the par vo rota raha. Aansu bhi na the par vo bahata raha. Beinteha ki thi aur karta rahega mahobbat. Toote motiyo ko bas pirota raha.
-
Aaj aasma ke sare sitare bhi muskurayenge. Jab diya aur bati Jami par jhilmilayenge. Rishto ki chashani aur gadhi ho jayegi. Jab har Ghar Diwali manayi jayegi.. wish u all a very happy diwali
-
Jo dhoonda Maine khud me ram ram kaha ban paya Mai. har ek chehre me chhupa hai rawan Mar use kaha paya Mai. har sal jalaya Maine rawan shapath bhi li ki ram banuga. fir Kyo beti ki aabaru ko bacha na paya Mai.. Jo dhoonda Maine khud me ram ram kaha ban paya Mai..
-
Na shikve hai na shikayaye hai. Meri choti choti khwahishe hai. kabhi hasha deti kabhi rula deti. kabhi khud se hi mujhe mila deti. Ai Zindagi..
-