Najane kaisa kauf hai, Najane kaisa kauf hai,
Ye jante hue bhi ishq beshumaar hai,
Najane kaisa kauf hai, ye jaante hue bhi yakeen beshumar hai, phir bhi dil ghabra jata hai, phir bhi, ye dil ghabra jata hai, tumhari chubti hui baaton se!
haan tumhari chubti hui baaton se
Jabki yeh dil jaanta hai ye baatein sirf baatein hai, Mana, ye dil jaanta hai ye baatein sirf baatein hai, jabki chahat toh beshumar hai,
Par uss waqt baton ka parda bhari padh jata hai iss ishq, yakeen aur chahat se,
Isliye itni iltaja hai meri, isliye itni iltaja hai meri,
Un baaton ko rok liya karo, un baaton ko rok liya karo, dil ke tudke hone se bacha liya karo,
Dil toh hai mara tumhare ishq ka, Dil toh hai mara tumhare ishq ka, bus usko pyar se samjha diya karo!
Bus pyar se samjha diya karo.❤-
Pyar ka khatha alag hee chalta hai,
Pyar ka khatha, alag hee chalta hai!
Jahan baaki kharach karne pe ghatha hai,
Jahan baaki, kharach karne pe ghatha hai,
Wahan pyar kharachne pe badhta hai!
Wahan pyar kharachne pe badhta hai!-
Aaj ka din kaafi nahi hai izhaar karne,
Aaj ka din kaafi nahi hai izhaar karne,
Itna Sara pyar joh hai tumse karne,
Phir bhi Aaj kuch alfaaz keh hee deti hoon,
Phir bhi Aaj kuch alfaaz keh hee deti hoon,
Tum na hote,ya tum na aate,toh meri zindagi mai kuch rehta hee kya karne.
Aake tumne Baaki zindagi ko ek naya mod diya,
Aake tumne baki zindagi ko ek naya mod diya,
Dost kahu ya humsafar ye toh nai pata,
Bus aake tumne zindagi ka rukh mod diya!!-
Iss diwali ke awsar pe chahu dher sara ujala man mai,
Andhera ho jaaye gum bhar jaye khushiyo ka ujala ghar mai,
Ek nayi mod maangu joh le jaye tujhe sapno ke shehar mai,
Aur kare tu woh sapno ko haqeeqat iss diwali ke shubh awasar mai.-
Nanha sa pyara sa bacha hai tu,
Sabse zyada nyara hai tu,
Chahe kitni shaitani karre,
Maa ka dulara hai tu,
Maa ki nazro se door na jana,
Chahe jitna rooot jana,
Aaj iss shubh awasar pe,
Tumhari Maa ko samajh jana.-
Itna pyar kiya tumse,
Pal bhar ka waqt maanga tumse ,
Kaafi badi khwaish na thi,
Tumse koi shikayat bhi na thi,
Par tumne guzarish ko saajish keh diya,
Iss chahat ko kaid keh diya,
Ab humne tumse kya umeed karna,
Jab dil ki baat ko samajhne se inkaar hee kar diya..-
EID is the symbol of peace,gratitude,
hope, sacrifice and love.
On this auspicious day I wish you and your loved ones EID mubarak!-
Keep shining even if the roads are gray.
One day you will blossom!
-
Saare savalo ke jawab khud tu
hee toh hai,
Aee bande tu dhoondhta kahan hai,
Aee bandhe tu bhaagtha Kahan hai,
Apne andar jhaank ke toh dekh, khud ko hilla ke toh dekh,
Joh tu dhoondhta hai paa lega khud mai hee, joh tu bhaage bahar mill jaaye khud mai hee,
Q tu bhaage bahar ki duniya mai,
teher aur jhaankh buss apni duniya mai,
Apaar samundar hai jawabo ka tujhmai,
Khudh se zara poochke toh dekh!-
All men's are not same - When did the gender became the aspect to judge than behaviour.
In the era of equal rights,gender has nothing to do with character of one's being
Men's are not same,yes! they aren't!
They are the one who are brought up saying don't cry,by hiding their sorrow inside.
They are the one who is said to be responsible,by not allowing their child hood to fly.
They are the one who sacrifice their dreams,by becoming a great dad and husband.
They are the one who are asked to be strong,by not allowing their feelings to be out.
Yes they are not same but however they deserve the same respect and love as all.-