Bas ek dafa woh dekh le mujhe
mai aas lagaye thehra tha,
Peeche mud ke sochta reh gaya mai,
woh chahta toh ruk sakta tha,
Shikwe hai mujhse,
Ya bura mai hi hu
Kis kis ko manau abhi,
Rutha toh mujhse, mai bhi hu.
Phir se aakhon mai aasu rok ke khada mai,
Ek rumaal se jyada kya chahunga,
Agar aisa hi chalta raha,
toh mai ek din khudko hi chod ke chala jaunga.-
Gher liya hai badalo ne chaaro or se,
Aayega toofan aaj koi shaq nahi
Hawa hai tej, bijli kadak rahi hai
Asmaan jaldi saaf shayad hoga nahi,
Gila rahega is baat ka barsaat ko bhi,
Aaj gir rahi hai pehli baarish, aur mere saath tum nahi
-
Ye uchi awaaze, ye uthti aakhe,
Ye raub jamana, kaabu mai rakhna,
Kaise hogaya hu mai, khudko jaise kho diya hu mai,
Ye naya jahan, taur-tarike, sehem jata hu mai
Kis se batlau, kon samjhega, dil bechain hota hai
Na lab kuch kehte hai na aakho ko rona aata hai,-
Ek nagma suna do, ek kalma suna do,
Suna do apni kahaniya tum,
Kahaniya ke kirdar suna do
Sunana apni kismat ka rona,
Sunana apne azeez ka khona
Mai jahan ki saari fursat leke aai hu,
Shaam dhalne dena nahi, Suraj se kehke aai hu
Sunana apna dard tum,Sunungi tumhari hasi bhi
Geet Gungunana tum,Mai preet sun lungi
Sunane saare masle apne, dil halka kar lena
mere kandhe par sar rakhkar aakhon ko behne dena,
Mai tumhari siskiya sunne aai hu,
Mai jahan ki saari fursat leke aai hu-
Ab ki baar milo toh theher kar milna,
Milna hi ho toh apne hi sheher mai milna,
Gairo ke yaha mila jata hai kya,
Paraya sheher kabhi kisiko bhata hai kya,
Milo jo ab ki pal tham jaaye,
Duniya daude aas paas ki, bas ruk hum jaaye,
Aisa hakikat mai hota bhi hai kya?
Iske jawab ke liye hi sahi, miloge kya?
Jo milna toh milna ki alag na ho,
Jara jaldi aana, ye dil be-sabar na ho
Dil ka masla yun dur se nahi kaha jaata hai
Mujhe apni ye halat dekh kar rona aata hai-
Kaisi hai subah waha ki?
Shaam, mujh sang chai ke bina dhalti hai kya?
Din kat'te nahi hai mere,
Tumhe raaton ko neend aati hai kya?
Sheher suna pad gaya hai aur chai thandi
Waha bhi hawa rukh badalti hai kya?
Yaad nahi kar rahe hai, bas kehna tha yahi
Mana bas kuch hi din hue hai,
Par jald hi mil sakte ho kya?-
Tumhari baatein likhu,
Ya hamari mulakatien likhu?
Likhu jo dard jab tumse doori ho,
Ya likhu jab milna jaruri ho?
Likhne ke liye chahiye haath tumhara,
Haath thamu toh likhna befizuli ho,
Likhna toh hai hi ek sawal tumhe,
Jawab haa ho, tabhi dil ka haal likhu.-
Sunna padta hai din bhar sabka,
Mai tumse raat mai baat kar lu kya?
Mehej dost hi banke nahi rehna hai,
Mai pyaar kar lu kya?
Yuhi dehleez par kab tak khadi rahu,
Mai izhaar kar du kya?
Tumhara dil kya kehta hai?
Mai, ye bawal kar lu kya?-
Zamane hue likhe tujh par,
Tujhe gun-gunaye zamane hue
Tujhe dekhne taras rahe hai,
Tujhe chue zamane hue
Hosh nahi raha zamane ka,
Tujhe yaad karte-karte zamane hue.-