“wo baatein khaa gaye mujh ko,
Jo baatein pee gaya tha main”-
“ye kaisa nasha sa hai, mai kis anjaan khumaar mai hoon,
tu aake jaa bhi chuka hai, aur mai intezaar mai hoon.”-
"shama har raat jal kar kuchh kehti hai kharaabi,
zindagi to bas khud se guzar jaana hai safar ho jaana."-
“Kuch to majburiyan rahi kuch mohabbat zarur thi
Warna yunhi koi shakhs begana nahin hota”-
“zaroori nahin hai daulat,
na hi zarurat hai aish-o-aaram ki,
kuch kareebi dost kaafi hain,
rangeen shaamo ke liye.”-
Zimmedaariyan kha gai mera wo Bachpan,
Warna muskurate Hue mera zamana guzarta tha."-
“Kitni ajeeb hoti hai na insaan ki fitrat,
Nishaniyon ko mehfooz rakh kar,
Shaks kho deta hai.”-
“Zara si baat thi, duniya ne dil pe le li,
Humne to chaha tha, bas itni si mohabbat”-
“Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyon,
Royenge hum hazaar baar, koi hume sataaye kyon.”-
“seene mai jo dab gaye hai, woh jazbaat kya kahein,
ab khud hi samajh lijiye, har baat kya kahein.”-