Socha ki chalo likh dete he,
Ki kya ho raha he Zamane me,
Koi naraz he to koi khush-mijaz he,
Apne-Apne hi aashiyane me,
Kise khabar kiski hogi,
Sab mashroof he sabko aazmane me,
Kher nazarandaaz kar dena galtiyan humari,
Agar koi bhul hui humse anjaane me...-
Mohobbat ke intezaar me na jaane tum kidhar jaoge?
Janaze par bethkar puchte ho ki jaana tum Laut kar kab aaoge?
-
Ki guzar jaane par koi malaal nahi,
Magar jeena padega isme koi sawaal nahi,
Logo par yaqeen nahi karte ab,
Shayad isiliye is bechen dil ka kamaal nahi,
Socha he itna ki soch bhi na sake koi,
Bas khamoshi ke daur me kisika khayal nahi,
Chahne vale bhi chhut gaye waqt rehte,
Ab de paye kisiko rahi esi koi misaal nahi...-
Lafzo me na sahi,
Khamosh reh kar hi kehne dijiye,
Samajh paaye to thik he,
Varna anjaan hi rehne dijiye,
Narazgi ka junoon chada he kuch iss qadr,
Ki sazayen saari aahista hi sehne dijiye,
Jazbaato ki niyat par kabhi shaq na karna ay dost,
Waqt he abhi,to waqt ke saath hi behne dijiye...
_Mahek(Faraar)🥀🖤💬-
Safar jo shuru kiya tha kabhi,
Vo bich raah me atka kyu he,
Dil jo lagaya tha minnato se,
Vo aakhiran ab bhatka kyu he,
Maana waqt ke saath sab badalta he,
Magar jitna socha na tha usse jyada badla kyu he,
Ha ranjishe rehti he kuch waqt,
Lekin har waqt uska asar khatakta kyu he,
Yu to kehne ko zinda hu me,
Magar iska ehsaas hi sirf chalakta kyu he,
Chahe sab badle waqt rehte,
Magar waqt ke saath khudko badalna kyu he...
-
Mohobbat ke khaatir unse sulah kar gaye he,
Na jaane fir bhi hume vo mohobbat-e-gum ataa kar gaye he...-
Na Kar Intezaar ki kaafi waqt zaaya ho chuka he,
Usko aksar yaad karna ab mehez tanhaiyo ka sahara ho chuka he,
Mere haq me na sahi magar uske naseeb me to likh de,
Kyuki kal jo sirf mera tha vo aaj kisi or ka Guzara ho chuka he...-
अब तो जो भी हूं ज़ाहिर हूं मैं,
केहती नहीं कुछ मगर नाज़िर हूं मैं,
खोयी-खोयी सी रेहती हूं,
फिर भी एक आवाज़ पर हाज़िर हूं मैं,
वक़्त के आगे जुकी थी जो,
फना़ह हुई एक ताबिर हूं मैं,
नहीं बनती अब लोगों से,
सबको नज़र अंदाज़ करने में माहिर हूं मैं,
इस जहां में जिसकी कद्र हो,
इतनी भी नहीं कामिल हूं मैं,
खेर अब जो भी हूं मेहेज़ ज़ाहिर हूं मैं...
-