You can't ask some one to love you the same way you love them.
-
Jis din ap jawar e rehmat main gaye theen, us din mene aik behtareen dost aur sukh dukh main har haal main sath dena wala, mukhlis rishta kho diya. Main ab kabhi apki muskurahat nahi dekh paongi, apki awaz nahi sun paongi. Kaye baar Allah SWT se dua ki ro ro kar keh bas aik mauqah aur de den, main bas aik baar apko bata sakun keh main apse beinteha pyar karti hun, apki godh main sar rakh sakun. Wohh sab apse keh sakun jo jawani ki bewaqoofiyon aur tez rafter zindagi ki daur men, main apse nahi keh paye. Mene kabhi nahi socha tha, keh ap yunh chali jayengi. Maine apko for granted liya. Akhri waqt tak, main nahi manana chahti thi keh ap chali jayengi. Ap hamesha mujhe kehti theen keh main apki bahadur beti hun. Maine bauhat koshish ki hai ami. Lekin main ap jitni bahadur nahi hun. Mujhe dekh kar log apki tarbiyat ki bauhat tareef karte hain aur main is baat ko apni khushqismati samjhti hun keh meri Ami ap hain. Pyari Ami, hum bauhat jald milainge. Isi umeed per khush rehne ki aur zindagi basar krne ki poori koshish kr rahi hun.
Apki ladli dukhtar,
Maham.
(Part 4)-
Ab abu bhi itna ghussa nahi krte, kafi dosti ho gaye hai unse. Mujhe hamesha is baat ka dukh rahega keh main apke saath apni pehli job aur promotion, ya kisi bhi kamyabi ki khushi share nahi kr paongi. Apke jaanay keh baad logon keh chehron se kaye naqabain utri Ami aur mujhe pehli baar ehsaas hua keh main tantanha reh gaye hun. Main kya karun ami, sab kehte hain sabar kro, waqt sab theek kr dega. Kya mujhe kabhi sabar aa payega? Kya waqt waqehi sab theek kr dega? Mujhe nahi lagta ami. Ap jab nani k liye roti theen, main pareshan hoti thi, apse naraz hoti thi keh ap kyu itna roti hain unhe yaad kar keh. Mujhe is takleef ka andaza tab hua jab maine apko kho diya.
(Part 3)-
Ab sotay huay barhaan mere upper se razai hat janay per koi usay theek nahi karta. Kehne ko hazaron cheezain hain jo ab nahi hoti, bs apse itna kahungi k ami, ab ghar ghar nahi lagta. Aisa aik bhi din nahi gaya jab humne apko yaad na kiya ho. Sab chup ho gaye hain kyu keh sab jante hain keh is dukh k sath ab humne saari zindagi rehna hai. Main apse hamesha shikayat karti thi behno ki, aur ap mujhe samjhati then keh sab behnain mujse pyar karti hain. Ami ap sahi kehti then. Ap keh janay keh baad sab ne mujhse bauhat pyar kiya hai. Kisi behan ne mujhe kabhi akela nahi chora aur hamesha mere liye barh charh kar kiya hai. Main unki jitni bhi mashkoor hun, kam hai.
(Part 2)-
Pyari Ami, 5 saal ho gye hain apko gaye huay lekin aj bhi apne kamre ka darwaza kholti hun, toh lagta hai jaise ap samne hi baithi nazar ayengi. Jab bhi kaam se thak kar ghar ati hun, darwaza khulne per aisa lagta hai jaise apka hi muskurata chehra nazar ayega aur aik awaz ayegi “ghar agaya mera bacha?”. Pyari ami, ab jab darwaza khulta hai toh samne veerana dikhta hai. Koi nahi puchta keh din kesa guzra, kuch khaya ya nahi. Ab ghar, ghar nahi lagta. Bauhat koshish ki keh adat daalun khud ko lekin ab who raunak nahi hai, ab who khushi nahi hai. Bas khamoshi hai jo har taraf se kaatne ko daurti hai. 2 log aik kamre main khamosh baithate hain ab, koi dopehar ko fruit kaat kr nahi deta, koi sham ki chaye per snack nahi rakhta. Ab har jummay ko chicken, chawal aur shami kabab nahi bante, ab sardiyon main sab se baray pateelay men soup nahi banta. Koi ghar se nikalte waqt dua parh kr nahi phoonkta, koi raat ko yeh nahi kehta k kundi dekh lo.
(Part 1)-
اسکے کاندھے پر سر رکھے، امیدوں کو توڑ آئ ہوں میں
رفاقت دو دن کی، روگ عمر بھر کا لائ ہوں میں
ہے انسیت ہے اس قدر اس سے، خود کو بھول آئ ہوں میں
وصل و یار نصیب ہے لیکن، اسے کسی اود کا چھوڑ آئ ہوں میں
ماہم۔-
Yeh Wafa Ki Raah Men Dekhiye, Meri Arzoo Ki Pastagee
Main Kisi K Qadmon Men Gir K Bhi, Na Apna Bana Saka
Tera Khayal Toh Main Sau Baar Chor Doon
Lekin Tera Khayal Mjhe Bhoolta Nahi
Main Muntazir Qaza Ka Hun, Qaza Ati Nahi
Dunya Yeh Bewafa Hai...
-
جب مرد کو یقین ہونے لگے کہ عورت اسکی محبت میں پوری طرح سے گرفتار ہو چکی ہے، وہ اسکی محبت سے دامن چھڑانے لگتا ہے۔ وہ دامن جو اسے حقیقت سے آئینے سا روہنما کرتی ہے۔ وہ دامن اس لئے تنگ نہیی کہ محبت کافی یا سہی نہیں۔ بلکہ اس لئے تنگ لگتا ہے کیونکہ وہ مرد جانتا ہے اسکے جذبات کی حقیقت دراصل کچھ بھی نہیں تھی۔ وہ عورت جو اپنا سب کچھ ایک ایسے مرد پر لٹا چکی ہو، خالی ہاتھ رہ جاتی ہے۔ اور مرد بڑی اسانی سے اگلی منزل کی جانب اپنے قدم بڑھا لیتا ہے۔ محبت کے دامن کی بیڑئیاں مرد کو نہیں روک پاتی۔ یہ بیڑئیاں صرف عورت کا مقدر ہیں۔
ماہم۔-
Paint me, illustrate a picture of me
all in your mind,
and shade me afterwards;
colour my agony away,
as easily as you
fill my thoughts-
Losing some body we love or care about at any given time in our lives means carrying an almost unbearable grief, experienced by many but talked about by few.
-