Ek bure waqt ki baadh aayi ,
Suna hai bohot kuch barbaad kargayi kuch "APNE" kahe jane wale logon ke naqaab baha kar apne saath legayi.......-
Madi Khan Â
(Madeeha)
43 Followers · 5 Following
Joined 18 February 2018
3 DEC 2020 AT 0:24
13 NOV 2020 AT 17:49
Khuda ki zameen par khanabadoshi asaan hai ,
Dilon ki khanabadoshi ek dum ghotne wala tufaan hai.....-
18 JUL 2019 AT 19:24
Chand guzishta saalon me ek baat samajh ayi,
Jis khuda ne musibat me daala hai wahi nikalega bhi, logon se apne maslon ka hal dhundna chahoge ya unse madad mangoge to siwae zillat k kuch hath nhi aega....-
25 JUN 2019 AT 22:40
Bachpan se meri fitrat rahi
har rishte me jhukna,
Par ab jahaan zidd jhukane ki ho
meri fitrat bhi saath nahi deti...-
5 MAY 2019 AT 20:48
Dil ka haal sirf khuda jaane to behtar hai,
Insaan humraaz ho k hi daghabaaz banta hai....-
21 APR 2019 AT 13:58
Jo khamoshi se maara ja sakta hai,
Uspar alfazon ke teer barsana
himaqat hai..-
12 APR 2019 AT 11:39
Haan maana aurat par parda bhi hai farz,
Gar mard bhi karle nigahon ka parda to hai hi kya harj..-