Bheed ki tanhai, Ravan ki aachai mai
Sunya ka ank, Nirakar ka aakar mai
Mahabharata ka Eklavya, Raat ka tara mai
Kabhi khud se, kabhi duniya se mai ladta hu
Jaha mai jita hu, wahi roj mai marta hu
Roj mai harta hu, roji hi mai jeet ta hu
Mai hi raja, mai hi meri praja hu
Kalyug ka manusya, Sabdo ka rahasya mai
Adoora sa khwab, Asaan sa jawab mai
Sagar ki ek boond hu, Shaam ki dhoop hu
Apno sai mai dur hu, haalaat se majbur hu
Bheed ki tanhai, Ravan ki aachai hu.
Sunya ka ank, Nirakar ka aakar hu.
Mahabharata ka eklaya, Raat ka tara hu
-