Kitabon ka pahad padha hain
Kya kabhi kuch shikha hain?
Dikhawa karke jo bhi mila
Kya usme kuch accha hain?
-
Chhatri se barsaat khatam nahi hoti
Par rahat to milti hain na
Muskurane se musibat kam nahi hoti
Par himmat to milti hain na-
Apna jeevan jeene ki khatir
Woh koshish karta hi raha
Udhna jiska sapna tha
Woh chalte chalte haar gaya-
Din raat laga jo kaam pe
Kya mutthi mein duniya samaoge
Jara dekho charo taraf
Kya lamho ke bina
Kisiko apna keh paoge?-
Badnaam yuhi nahi hain mohabbatein
Yahan aashiqui se jyada bewafai hoti hain-
Badal ne dekho na acchi kismat payi hain
Uske ansuon se logon ko fark jo padta hain-
Khoyi hui si rehti ho tum
Aisa kyu yeh haal kiya hain
Woh bhi mujhse hass ke boli
Hosh mein na rah paungi
Yeh duniya na sah paungi-
Waqt dekho kitna matlabi
Aage bhadta jata hain
Meri koi parva nahi
Kehta hain tu khud Sambhal
Kisika mein apna nahi.-
Shambhu shambhu karke mein bas
Tumhe pukara karti hu
Duniya ko jane do
Mein bas tumse aasa karti hu
Shambhu shambhu karke mein bas
Tumhe pukara karti hu
-