Yeh Raat Ki Khamoshi, Aur Dil Ka Shor,
Ab Toh Yahi Mera Roz Ka Kaam Hai.
Ki Akele Baithun, Khud Se Baatein Karun,
Aur Sochun, Kya Yahi Zindagi Ka Anjaam Hai?-
where pain teaches what the world ignores.
I write... read more
ग़म की गलियों में अब घर बसा लिया मैंने,
ख़ुशी आई भी तो मेहमान समझकर रुख़सत किया मैंने।
दर्द से रिश्ता जोड़ा है इस क़दर,
हर हसीन लम्हे को दिल से मिटा दिया मैंने।
अंधेरों से अब शिकायत नहीं रहती,
उम्मीदों के सब चराग़ों को बुझा दिया मैंने।
लोगों की महफ़िलों से अब दूर रहता हूँ,
तन्हाई में अपना मुक़ाम बना लिया मैंने।
जो भी आए, मुझको मुस्कुराता हुआ पाए,
अंदर के सब ग़मों को छुपा लिया मैंने।
अब तो ख़ुद से भी ये सवाल नहीं करता,
कि कब तक चलेगा ये सिलसिला…
ये ग़म ही मेरी तक़दीर है, मान लिया मैंने।-
Yeh Safar Mohabbat Ka Aakhir Kahan Le Aaya,
Woh Toh Chala Gaya Par Main Kabhi Laut Na Paya.
Raah-E-Dil Mein Har Taraf Roshni Talashta Raha Magar,
Andheron Se Main Kabhi Bahar Nikal Na Paya.
Uski Yaadon Se Mera Dil Sambhal Na Saka,
Woh Paas Tha, Par Main Us Tak Pahunch Na Paya.
Main Usey Duaon Mein Maangta Raha Har Pal,
Woh Duaon Ke Baad Bhi Kabhi Mujhe Mil Na Paya.
Dil Se Nikal Kar Lafzon Mein Utarta Gaya Dard,
Magar Woh Dard Mein Kabhi Usey Suna Na Paya.
Woh Toh Apna Muqaam Kisi Aur Mein Pa Gaya,
Aur Main Tanhai Ke Safar Se Kabhi Nikal Na Paya..!-
Naye Raaston Pe Chalne Se Ab Dar Lagta Hai,
Har Mod Pe Wahi Purana Dard Milta Hai.
Har Kirdaar Mein Dikhti Hai Ek Hi Kahani,
Har Chehra Ek Hi Naqab Pehne Dikhta Hai.
Yeh Duniya Bhi Kaisi Hai, Kaise Hain Iske Log,
Jo Bhi Milta Hai, Bas Matlabi Nikalta Hai.
Rishton Se Bhi Ab Dil Ghabrata Hai,
Har Rishte Mein Fareb Hi Milta Hai.
Ab Toh Bas Khamoshiyan Hi Raas Aati Hain,
Kyunki Har Lafz Mein Sirf Dard Hi Nikalta Hai..!
-
Haan Beshak Mohabbat Mein Chot Khai Hai,
Magar Zubaan Par Kisi Ka Naam-E-Ilzaam Nahi Rakha.
Wajah Jiski Apni Hi Khata Batayi Hai,
Kisi Aur Par Apna Anjaam-E-Ilzaam Nahi Rakha..!-
तुम पूछोगे, क्या दर्द है?
मैं चुप रहूँगा,
क्योंकि कुछ दर्द ऐसे होते हैं,
जो लफ़्ज़ों से बयां नहीं होते,
सिर्फ़ आँखों से बहते हैं।
तुम पूछोगे, क्यों उदास हो?
मैं कहूँगा, पता नहीं,
क्योंकि अब उदासी वजह नहीं माँगती,
और खुशियाँ भी दिल तक नहीं पहुंचती।
तुम पूछोगे, क्या छुपा है इस दिल में?
मैं बस मुस्कुरा दूँगा,
क्योंकि ये दिल अब एक क़ब्रिस्तान है,
जहाँ हर ख्वाब बिना शोर के दफ़्न है।
तुम पूछोगे, आखिर हुआ क्या है?
मैं कहूँगा, कुछ नहीं,
क्योंकि अब कुछ भी कहने की हिम्मत नहीं,
और कुछ सुनने की चाहत नहीं।
तुम सवाल करते रहोगे,
मैं बस ख़ामोश रहूँगा,
क्योंकि कुछ ग़म ऐसे होते हैं,
जो लबों तक आते ही नहीं,
बस रूह में बस जाते हैं।-
Yeh Raat Nahi Hai, Jo Beet Jaayegi,
Yeh Zakhm Nahi Hai, Jo Bhar Jaayega,
Yeh Dard Hai Mere Yaar,
Jo Har Saans Mein Bas Gehrata Jaayega.
Yeh Khushi Nahi Hai, Jo Laut Aayegi,
Yeh Hansi Nahi Hai, Jo Phir Khil Jaayegi,
Yeh Aansoo Hai Mere Yaar,
Jo Aankhon Mein Hi Bas Sookh Jaayega.
Yeh Mohabbat Nahi Hai, Jo Phir Ho Jaayegi,
Yeh Dil Nahi Hai, Jo Phir Lag Jaayega,
Yeh Woh Dard Hai Mere Yaar,
Jo Sirf Maut Ke Saath Hi Jaayega..!-
Har Dil Mein Mohabbat Ki Roshni Jali,
Magar Mere Naseeb Mein Andhera Hi Likha Gaya,
Sabko Mila Koi Na Koi Sukoon Safar Mein,
Mere Hisse Mein Tanha Raasta Hi Likha Gaya,
Shayad Main Wo Kitaab Hoon Jiske Har Panne Ko,
Duaon Se Nahi, Bas Sazaon Se Hi Likha Gaya..!-
Jab Dekha Aaina, Do Chehre Nazar Aaye,
Ek Par Jhoothi Muskaan, Doosre Par Dukhon Ke Saaye..!-
Yeh Dard Ki Daastan Meri Hai, Magar Maine Likhi Nahi,
Iski Har Kahani, Maine Kabhi Sochi Nahi.
Har Din Ek Naya Zakhm Milta Hai,
Aur Har Zakhm Mein Mera Aks Dikhta Hai.
Meri Aankhen Ab Aansuon Se Bhar Chuki Hain,
Aur Meri Hansi Kahin Dafn Ho Chuki Hai.
Main Thak Chuka Hoon Ise Jeete Jeete,
Ye Kaisi Zindagi Hai, Jo Kabhi Khatm Hoti Hi Nahi..!
-