Gehre raaz chupake baithe ho
Jaane kisse nazar churake baithe ho
Kamal lagte ho tum is intezaar me bhi
Jaane kahan se aisa dil le aate ho— % &-
Mai aj kal andhere me rehta hun,
Jahan roshni ka saya bhi nahi padta hai
Mujhe khuda se milna hai,
Suna hai se-pahr me arsh wala khud aasman paar kar rooh se milne ajata hai-
Kuch b paa lun zindagi me chahe wo shohrat ya ho maal
Nahi magar mukammal hogi gar na maa ho ya chahe baap-
Sambhalta gaya hun mai kismat ki har ek mod par
Har mod toofani raha
par mera tarz-e-amal shaaz tar-
Milega kya dilon mein nafratein rakh kar ?
Badi Mukhtasar si hai zindagi muskura ke mila karo-
Milega kya dilon mein nafratein rakh kar ? Badi Mukhtasar si hai zindagi muskura ke mila karo
-
Tu kaun hai ye tu na jaane
Ye mai jaanu aur sirf mera khuda jaane
Tu kya hai mere liye aur kyun hai
Ye tu jaane na tera jee jaane-
Savere se lekar raat tak har waqt tumhara tha beta
Ye kabhi tumne soncha hai kya ?
Waqt hi tho mil nahi paaya mujhe
kyunki tumhare alawa maine Rab se maanga hi kya tha-
Yahan dekha tho aasman jhilmil
Wahan dekha tho taare jhilmil
Tera naam jhilmil aur tu meri jhilmil-
Kyun na mai ye keh sakun ke mai khudko sambhal paungi
Dunya ka sonchungi tho khud ko na dhoond paungi-