maahi Gautam  
741 Followers · 10 Following

Joined 11 August 2018


Joined 11 August 2018
20 OCT 2023 AT 15:54

Wo rakhta tha mujhe phoolo ki tarah,
Phir Na jaane kyu wo mujhe kaanto k hawaale kar gaya.

-


5 OCT 2023 AT 15:05


Humse ab or likhi na jayegi,
Chalo ye kahani ab yahi khatam karte hai.

-


26 SEP 2023 AT 11:51


Aksar aaj bhi log tera haal mujhse puchte hai
Koi tujhse bhi mera haal puchta hai kya,
Wo log jinhe yakin tha hum alag na honge kabhi
Tu bhi unhe kismat ka hawala dekar
Taalta hai kya,
Wo har dar jaha hath pakad kar humne apne rishte ki salamati maangi thi
Ab tu uske sath bhi mannato k daage bandhta hai kya,
Chal sab chhord ye bta,
Wo sab dard jo tune sirf mujhe bataaye the
Unhe bhi tu ab uske sath baant ta hai kya.

-


15 SEP 2023 AT 15:27


Aane mai wapis
Usne badi der kar di,

Seene mai dafan jazbaato ki
Ab to raakh bhi na bachi thi.

-


9 SEP 2023 AT 14:59

Saal hone ko hai
Tumhe kisi or ka huye
Or mai aaj bhi
Apni hatheliyo mai tumhara naam dhundti hu.

-


5 SEP 2023 AT 20:26

Kalam se likha hua tera naam tak na mitaya tha kabhi
Ab uske naam ka sindur tak mita deti hu mai.

-


31 AUG 2023 AT 11:45


Maine ek tasveer tumhari sambhal rakhi h
Jab koi apna nahi lagta
Tab aksar use dekh liya karti hu.

-


28 AUG 2023 AT 18:11

Ab sochti hu,
Kaash wo akhiri mauka maine tujhe de diya hota
Apne gusse ko maine thoda sambhal liya hota
Mai bhi keh sakti kisiko phir haq se apna
Kaash us waqt hath pakad tera
Maine Tujhe rok liya hota.

-


22 AUG 2023 AT 19:21


Kaise bhulu tujhe
Har roj tujhe yaad karne ka
Ek naya bahana de deti hai zindagi.

-


16 AUG 2023 AT 12:49


Uske phone k wallpaper se lekar
Uski whatsapp ki DP tak
Har jagah tasveer meri hua karti thi
Haa mai bhi kabhi kisiki mohabbat hua karti thi
Uske phone k password se lekar
Uski insta ki bio tak
Mai jabardasti apna naam likha karti thi
Or Uske purse mai bhi meri ek tasveer hua karti thi
Haa Koi tha jiski har chiz par
Us se jyada haq mai rakha karti thi.

-


Fetching maahi Gautam Quotes