Safar-E-Zindagi Mein Shaadmaanii Ki Talash Mein Awara Phirte Rahe Hm Bhut, Shaadmaanii Ki Talab Mein Zindagi Ka Ranj-O-Gham Se Rabta Hua Bhut, Kaanto Bhari Raha Mein Manzil Tak Na Paunch Sake Hm Iss Ka Malal Rha Bhut, Manzil Na Milne Ka Gham Chupaye Baithe H Dil-O-Jaan Mein Bhut, Kaanto Bahre Safar Mein Pal Pal Zakham Mile H Bhut, Haal-E-Zindagi Yun H Ab Ranj-O-Gham Mein Shaadmaanii Milti H Bhut.
-
Laut Chale H Guzishta Hue Waqt Mein Phir Ek Baar, Khali Rahe Haath Mohabbat Mein Phir Ek Baar, Taweel-O-Tang Raha Safar-E-Zindagi Bahut Is Baar,
Nadan The Aagaz-E-Mohabaat Ke Safar Se Socha Tha Paunch Jayenge Manzil Tak Is Baar.
-
Taweel-O-Taang Raha Guzishta Hua Saal Bhut, Taraste Rahe Teri Taraf Se Har Khushi Ko Bhut,
Guzar Gaya Guzishta Hua Saal Jo Yaad Dilata Tha Teri Bhut, Karte Hai Ehad Khud Se Koshish Poori Karenge Naye Saal Mein Tere Aks Se Bhi Rahe Door Bhut-
Khuda Hi Jaanta H Teri Mohabbat Mein Mile
Mere Dard Ke Baare Mein, Alfaaz Ro Pade
Mera Haal-E-Dil Jan Kar, Nhi Bane Alfaaz Jo
Bayan Kar Sake Iss Dard Ko Tere Samne, Hogi
Mulaqat Roz-e-Meshar Mein Tab Khuda Hi Batayega
Tujhe Mere Sabr-O-Duaon Ke Baare
Mein.-
Haste Hue Chehre Pe Lakho Gham Chupaye Baitha Hu, Tujhe Chahata Hu Or Tujhse Hi Chupaye Baitha Hu,
Koi Sabeel Nhi Tujhse Milne Ki Lekin Phir Bhi Har Baar Duaon Mein Tujhko Maang Baitha Hu..-
Qaid Chahe Pinjre Ki Ho Ya Kisi Ki Yaadon Ki,
Aazadi Ki Khwaish Har Waqt Dil Mein Rehti H,
Koshish Rehti Har Waqt Aazadi Ki,
Magar Sachai Toh Yeh H Ki Maut Ke Baad Hi Aazadi Milti H.-
Bagawat Ka Ilzam Lagane Se Pehle
Zara Humse Gunaah Humara Puncha Toh Hota,
Ilaaj Karne Se Pehle Zakhaam Humara Dehka Toh Hota, Dil Lagane Se Pehle Iska Aanjam Socha Toh Hota, Judai Ka Bayan Likhne Se Pehle Aashq Aapne Chehre Se Poncha Toh Hota..-
Raango Ka Din Aya h Aaj Gale Lagne Ka Din Aaya h, Mit Jaati h Duriya Aaj Rang e Gulal Ka Din Aaya h, Shikayat Aur Shikwo Ko Bhul Jane Ka din Aaya h Aaj Rang e Gulal Ka Din Aaya h, Bane h Kai Pakwan Aaj Gareeb Ke Ghar Bhi Khushio Ka Din Aaya h Aaj Rang e Gulal Ka Din Aaya h, Burai Par Sacchai Ki Jeet Ka Din Aaya h Aaj Rang e Gulal Ka Din Aaya h..
Happy Holi-
Bayan Na Ho Sake Wo Alfaaz E Judaai Likhne ki Zarurat Hi Kya Thi, Jo Dard E Mohabbat Na Jaan Sake Uss Sangdil Se Dil Lagane ki Zarurat Hi Kya Thi, Guzar Hua Agr Tere Dar Se Toh Punchenge Mohabbat Karni Hi Nhi Thi Toh Jhoote Wadon Ki Zarurat Hi Kya Thi, Jo Shaks Laut Kar Na Aa Sake Uss Ka Intezaar Karne Ki Zarurat Hi Kya Thi..
-
Aaj Phir Mohabbat Ka Din Aaya h, Bahut logo Ka Dil behlane ka din Aaya h, Saachi Mohabbat Toh Ruh Se Ki Jaati H ,Toh Phr Kun Jismo Ka sawal Aaya h..
-