Destiny
Mysterious way destiny
Acts like a sign
Puts you in a wrong place
At the wrong time
Assumptions become cupid
With the spread of lies
Making you believe
The stars have aligned
-
Tum se kya zakhmon ka hisaab maange ab
Jab tum maante ho ke zakhm diye hi nahi
-
A New Sun..
A morning filled with fog
Soon became smog
As the leaves began to flurry
It made everything blurry
When eyes cleared the haze
Mind was in deep haze
As sun peeked out of the cloud
Birds started chirping aloud
Morning that began with pain
Was fine by evening again
It goes like a circle, has to be done
So everyday we find a new sun
In a person, moment or a thought
Anything that inspires a lot
A little sunshine is all we need
To bloom a flower from a seed...-
Likha..
Muskurahat ko khud par
Saja kar likha
Kiya khud se jo vaada
Nibha kar likha
Jhalke hai kitne aansoo
Khushiyon mein kabhi
Dard ko kabhi apne
Hasa kar likha
Roothe bhi kabhi hum
Khud apni likhawaton se
Phir shikwe gile sab
Mita kar likha
Gumm ho gaye jo
Dararon mein apne
Khud ko khudi se
Bacha kar likha..-
Fitoor..
Jaade ki dhoop se
Tum aaye zindagi mein
Kuch masoom se khwab
Tum laaye zindagi mein
Aankh bhar ke jo dekhein
Toh tok dete tum
Phir bhi kisi bahane
Toh rok lete tum
Tumhare tasavvur ki
Tasveer bana baithe the
Tumhari yaadon ko
Zanjeer bana baithe the
Har aarzoo ki hadd
Bas thi tum tak
Meri kalakaari
Meri kaarigari tum tak
Mere naam mein chupa
Asal mein Noor ho tum
Ke Firdaus ho
Mera ishq mera fitoor ho tum
Fitoor ho tum...-
Na Poocho..
Is safay par likhi jo
Alamat na poocho
Saja kar rakhi jo
Banawat na poocho
Likhi hai sadayein
Likhi hai duayein
Likhi hai magar kyun
Adawat na poocho
Guzar ke hai dekha
Har imtihaan se
Kya hamein hai koi
Shikayat na poocho
Le lena hisaab
Hum se har hasi ka
Aankhon ki nami ki
Haqeeqat na poocho..-
Life goes on..
Even without the morning sun
Even without the moon
Even without the rain
Or without the flowers bloom
Even though it’s hard
Even though you’re in pain
Even a step before success
Your efforts go in vain
Even if you’re finding yourself
Or lost someone very close
Even if you’re a living mess
For you regret what you chose
Life still goes on
With the smile or not
Gently passing through
Detangling the knots
Sometimes fast
Sometimes slow
Sometimes dark
Sometimes aglow
Through the thorns
Through the vines
Each phase is a challenge
You outgrow you outshine
Just hold on to hope
No way to retreat
Until
You get used to the rhythm
The rhythm
That’s called heartbeat-
Kitna aakhir koi nazarandaaz karein
Kin kin baaton par ab aitraaz karein
Humein gumshuda karne walon ke aage
Kyun zahir ho kar unhe naraaz karein
-
Samajh paye na duniya
Na samajh paye kainaat
Kuch roohani rishte
Aur un se jude jazbaat
-
Tum jahan ho wahin ke raho
Hum bhi jude rahenge apni zameen se
Tum gumaan ke baadalon me khote rehna
Hum ulajhte rahenge apne yakeen se..-