Ab jaa rahe ho chod ke kabhi milne bhi aana
Iss gali se gujre toh thodi der thehar jana
Chahe Pehchana nahin bolke muskura dena
Par begano ke tarha bhul mat jana-
Don't compare my best friend with others😎😎😎😎😎
Waqt kam tha sath me chalne ko
Do pal baitha ke baat karne ko
Magar
Yaadein thodi si humein bhi banaye hain
Aapke yaadon mein muskurane ko-
Jab se muskurate hua dekha hai aapko
Hum us pal mein hi kaid ho gaye
Dobaara kab miloge ye soch hi rahe the
Ki aap ki khwaab mein kho kar sogaye-
Ise Sera Kaho Ya Sayeri
Tumhari Chehron Pe Hai Noor Bhari
Agar Bura Na Maano To Ek Baat Kahun
Le Sakti Hoon Kya Ek Tasveer Tumhaari-
Abhi to sam hui hai
Thodi si intezaar kijiye
Raat ko thodi si dhalne do
Pir chandani ke mazaa lijiye-
Aaj mile the unse
Par anjaano ki tarah
Dil ne kaha gale mil lo
Parwano ki tarah
Pyar to hum bhi karte the
Diwaanon ki tarah
Par toot gaya the dil
Aaino ki tarah
-
Dost to bahut the
Kuch rahe kuch chale gaye
Kuch yaad hai Or kuch bhula diye
Agar kabhi mulakat hoti hai
Kuch baat karte hain
Or kuch chale jate hain
-
Kaun ho tum ?
Dost ho ya dushman
Koi jajbaat ho
Ya phir iss dil ki dhadkan
Jo tum kehte ho
Kyu sunte hain hum
Eka baat to batao
Kaun ho tum ?-
Waqt waqt ka khel hai
Jindagi berr ki bhel hai
Kabhi mithi to kabhi khatti hai
Ghatna yehi tha jo abhi ghati hai-