Lohitakshya Satpathy  
5 Followers · 4 Following

Joined 10 May 2023


Joined 10 May 2023
24 MAY 2023 AT 23:32

Ab tum bas,
Ek kaahani ho;
Jo mein logon ko,
Batlata hun;
Jab woh dard ki,
Baatein karte hein...

-


21 MAY 2023 AT 13:27

I always prayed to God to keep my family safe and happy,
No matter what;
But when I had this situation of being away from my family;
I asked God with my eyes full of tears,
Why God,why this to me ?;
God replied,
How can you forget what you prayed for...

-


19 MAY 2023 AT 0:48

Woh aayi;
Akar muskuraayi;
Akhir mein mujhe bohat rulaayi;
Aur hawa ke tara akar chaligayi...

-


18 MAY 2023 AT 13:44

Woh bachpan kahan;
Kahan hai woh school na jaane ke naye naye bahaane;
Kahan chale gaye woh khilone ki zeed;
Kahan reh gaye woh papa aur mummy ki pyari pyari daant;
Woh bachpan kahan;
Kahan woh gaadi mein ek baar ghum aaneka maza;
Kahan woh rosoyi se churake ke pakode khaane ka maza;
Kahan woh bhai aur beheno ke saath baarishon mein khelne ka maza;
Woh bachpan kahan;
Kahan woh maa ka gaudi;
Kahan woh papa ka kandha;
Kahan woh behen ka laad;
Kahan woh bhai ka haath;
Aye zindagi bata mujhe,
Woh bachpan kahan...

-


18 MAY 2023 AT 8:13

To be calm, and
Settle down quietly when it tends to become dark;
To be bright,and
Rise high when it is a new day again...

-


17 MAY 2023 AT 21:27

Karne mein;
Humesha galat faisle hi leta tha;
Kya,kyun aur kaise,
Ye sab ka baad mein na mere paas koyi jawab hua karta tha;
Kis baat ki mil rahi thi sazaa,
Bas yahi soch mere din aur raat hue khafa;
Kya jo chuna woh galat hona jaruri tha;
Kya agar ye chod woh chunta toh kya woh sahi mein sahi hota;
Kya sahi kya galat;
Aye meri kismat tu roz roz yun na palat;
Kar khada mujhe dhoop me,
Mein hoon tayar,par
Yun mujhe le chaon mein mat chod mujhe wapas wahan baar baar ;
De rula mujhe waqt par,
Mein lunga khudko sawaar,par
Yun ek pal ki deke hansi na de tu mujhe firse wohi aasoon udhaar;
Kya sahi kya galat,
Aye zindagi ab dikha de mujhe bhi ek teri jhalak...

-


14 MAY 2023 AT 16:48

Kese jaan leti ho sab kuch bina kuch kahe?;
Kese maan leti ho sab jo v tera beta kahe?;
Kese ghum leti ho iss mukhote se bhare duniya mein be nakaab hue?;
Kese seh leti ho har ek dard ese muskuraate hue?;
Kese sambhalti ho in parishaaniyon ko bina parishaan hue?;
Kese maan leti hai tera beta ek heera hai bina usse parkhe hue?;
Maa tum kese karleti ho ye sab bina koyi sikayat kiye...

-


13 MAY 2023 AT 19:19

Kaash agar...
Kash agar mein laut pata wapas uss bachpan mein;
Pyar se iss baar khudko koso dur rakhta mein;
Khudko ek baar firse taraasta mein;
Pyar se iss baar khudko koso dur rakhta mein;
Nadaan se iss zeeban mein;
Saans lene ki ye boz mein;
Ahista ahista lun zindagi mein;
Tera pyar ne diye nahi chainse jeene mein...

-


13 MAY 2023 AT 11:20

Ki na aaye mujhe fir kabhi uski yaad;
Ki koyi na puche mujhse,
Ki kya hui hai usse teri baat;
Ki kahin dikhna jaye mujhe woh kisi aur ke saath;
Ki kahin bina hak mein firse pakad na lun uska haath;
Ki galti se kahin fir usse bolna dun dil mein dabaayi baat;
Ki ye dil puche baar baar;
Ki tu din bhar toh sahi tha,kya hogaya jese hi hui raat;
Jese hi hui raat...

-


12 MAY 2023 AT 23:15

WAQT...
Ek waqt esa bhi tha jab maa bulana khatam bhi na hua ho aur maa aage hoti thi;
Ek waqt esa bhi aya jab maa ko soch aakhon se assu nahi rukte hai fir v mun pe jhooti muskaan leke sab ka dil behelate hai;
Ek waqt esa bhi tha jab papa ke ghar aaneke intazar mein neend aajati thi, aur subah aankhein khulte hi papa ke bagal mein khudko paate;
Ek waqt esa bhi aya jab papa ke intazar mein neend nahi aati, aur aankh lag v gayi toh subah aankh khulte hi papa ko bagal mein dhoondte;
Ek waqt esa bhi tha jab chote bhai ke saath khelte usse ladte jhagadte bachpan ese beet gaya jese koyi hawa ka jhonka;
Ek waqt esa bhi aya jab naa Jane uss naadaan se ab kab mulaqat hogi ,kya pata hum fir kabhi saath mein khel payenge ya nahi;
Ek waqt esa bhi tha jab behen kab padhai khatam kar wapas ghar ayegi soch rona ajata tha;
Ek waqt esa bhi aya jab behen padhai khatam kar ghar aayi toh sahi lekin chod ye ghar ek naye ghar jaane ke waaste;
Ye waqt ka khel bada hi ajeeb hai , ye pal jhapak te hi ek naya mukhota pehen leta hai...

-


Fetching Lohitakshya Satpathy Quotes