Ye zamana humse kehta hai..
Aashiq hu tumhara..
Durr se dekh kar hi chahun..
Itna to haq hai na mera..-
Follow and like my post..π
Follow me on insta..π
_lines_shayari_23
Yuh faasle lakar humare darmiyan..
Tumne bewafai kyu kar di..
Kasam khai thi tumne hume na chodne ki..
Fir vo kasam kyu tod di..-
Maana ki narazgi thi darmiyan humare..
Tumhe to mera khayal bhi nahi aaya..
Kaise nibhaoge zindagi bhar ka saath..
Tumhe to naraz hone par manana bhi nahi aaya..-
Agar kabhi maut ne dastak di, to aakhri gazal yahi hogi..
Vo nazre hi kya jo bandh ho jaye, bina tere deedar ke..
Vo saanse hi kya jo dam tod de, bina tujhe mehsos ke..-
Na jane kis mod pe hai zindagi..
Na meri sunti hai, na khud ki karti hai..
Bas bematlab si chal rahi hai..
Par mujhe har chiz ka matlab sikhati hai..-
Ae waqt kaash tu do pal theher jaata..
Mein khud ko thoda sa samjh jaata..
Reet to teri yahi hai, tu chalta jayega..
Pata nahi tha, tu itni jaldi yuh beet jayega..-
Naa jane kis talaash me hai zindagi..
Ab nahi koi sapne hai, aur na khwaishe..
Ab iss daur me hai ki..
Jaha sirf hai azmaishe hi azmaishe..
-
Naahi sahi rasta nazar aaya..
Aur Naa koi manzil..
Bas yuhi banjaro sa bhatakta raha..
Aawaro ki tarah ye dil..
-
Jise har dua me manga tha..
Aaj usse hi inkaar kar dia humne..
Kaise karte manjur iss rishte ko..
Jab pasand kisi aur ko kia tumne..-
Jitni thi takleef, jitni thi azmaishe..
Hum bina kuch kahe sab seh gaye..
Lekin manzil ko paane ki umeed me..
Hum zindagi ke pehlu me ghumte reh gaye..-