Jise samajhna hai use samjhaane ki zarurat nahi hoti
Jise samjhaana pade use samajhna nahi hota-
Kuch to baat hai in yaadon mein
Vo waqt hai jo bitaya saath in yaadon mein
Aaj bhi dekhu vo panna to kabi hasi kabi aankho mein nami aa jati hai
Kitne sath kitne zinda the hum iska ehsaas hai un lamhon mein
Waqt to ek sa nahi rehta na zindagi ek si chalti hai
Jo hai nahi sath unki Kami har pal khalti hai
Lekin kyo soche hum vo sath nahi hai
Dil mein rakhein vishwas vo aas pass hain vo yahi hain
-
Har baar kisi nayi jagah le jana
Meri har zidd ko poora karna
Khaas kuch na hote hue bhi khaas bnaana
Sath hone ka ehsaas jtana
Janamdin to har saal ata hai
Is saal bina aapke uska aana aur jana-
Zinda hu bas zindagi bejaan si hai
Na waqt na meri waza pehle si hai
-
Kai dino baad aaj mera dil
Yehi soch k ro Diya
Aisa kya paana tha maine
Ki maine khud ko hi kho diya-
Kaun kehta hai acchai door tak le jati hai
Kisi kaam nahi aati acchai
Maine acche acchon ko rote bilbilate marte dekha hai-
Apni fitrat se nahi jaata insaan
Acche bhale ko bhi bna deta hai bura insaan-
Mai khud jeetne ki koshish mein
Tujhe haraaye jaa rahi hu
Jo kabi thi hi nahi
Vo banti jaa rahi hu-
Kaise rang badalti hai na duniya
Jab insaan jeeta hai to use koi jeene nahi deta
Jab marta hai to use jeene ko kehta hai-
Gir to gye ho nazron se
Aur kitna hi neeche jaoge
Jitna bhi kar lo ab
Mujhse jab bhi koi poochega
Tum gire hue hi kehlaoge-