Kuch geeton ki gunj kuch aisi hoti hai
Bol Sunayi na bhi de par unki jhankar chhu leti hai...
Un anjaan tarango se bhi kuch rishta aisa jud jata hai
Jaise patwar ka Manjhi se aur Deepak ka andheron se naata hai...-
Kuch Sidhi to kuch tedhi zindagii ki dagar
Kabhi Shaavan to kabhi patjhar ki reet hai amar
Naino se bahte ashkon ka to hota rang ek saman
Par kuch Khushi ke ansu hotein hai,kuch karte Dard bayan....π-
So when it gets cold and dark, remember,
Inside you is enough spark.
The spark gives heat,the spark gives light.
When the spark radiates out, the darkness subsides...-
The rain on some day whispers to me
Hey! When i fall what you feel?
I smirked for a while and gently smiled
Slowly I whispered, you are the savior of this living paradise...
(Caption... )
-
Mai Vasundhara meelon gaj ki
Ek abhinn ang, Mai hu prakriti
Uper mere neel gagan saurmandal jisme vicharan karti
Unche Parvat jharne ki dhaar,Saundhi mitti heem ki bauchhar
Harit van me pakshi anek,Gungun Karti bhanwaron ki tadaad
Phool ho jaise gale ki haar, khusboo uski itra ke saman
Sagar ki lehrein, Nadi ka swachhand bahav
Chandani chadar odhe Mai prakriti is Jagat ki aadhar...
Ghane baadal kajal ki dhaar,jham jham Karti baarish ki bauchhar
Bhor ki pehli Lal Kiran puri Karti mera solah shringar...
Tum Preet karo Mai Preet hi dungi
Par jab karte ho mere niyamon se ched-Chad
Mai prakriti udwigna ho jati
Lati pralay, Karti Jeevan sanhar...
-
Growing up is not about day by day increasing your height
Growing up is all about strengthening your positive vibes...
Growing up is accepting
Growing up is not being confined
Growing up is forgiving
Growing up is being sensible for every race,
Inspite of boundaries the earth has been portioned out...
Growing up is walking together instead of flying alone in the sky so high...
AND
Growing up is all about smiling on the twist of life... ππ-
Imagine yourself a kid and read the caption, the way a kid does...
Believe me nothing gives more happiness than doing ' NAUTANKI' like a child....-
Once,it was a happy giggling child
Now, a body which is nothing more than germ's house....
(Caption...)-
Kuch to jameer jaga lo,kaise Karu hawala
Chhoda nahi kuch bhi tumne,Chahe sadak ho ya mandir ka dwara.
Kyu Manav ke bhesh me darindagi pe utar gaye ho?
Kyu pandit aur pakhand ke antar ko bhul gaye ho?
Kyu rakshak ke bhesh me bhakshak ban ke khade ho?
Kyu Dard se naata tod apni matlab ki roti senk rahe ho?
Tum to batt se bhi battar ho haiwaniyat par utar gaye ho
Tum Manav ke bhesh me danav ho, insaniyat kuchal rahe ho...
Hairan hu, tum to Pani ke bhi haqdar nahi aur saare aison aram bhog rahe ho....-
Aye ghata! Jara bata...
Yu Umar ghumar kar tu jatana kya chah rahi?
Ye Jo garjana hai,Ye krandan hai ya thahake ya kuch aur hi raag tu ga Rahi...
Ye Jo bhaari hain teri palkein, Inme Khushi ke aansu hain
Ya man bhar aya hai tera aur tu behne ko bekabu hai...
Ye Jo jham jham kar jo baras rahi tu, ye kisi geet ka jaadu hai
Ya baja rahi bigul kisi pralay ki,jo hone ko abhi baaki hai...
Ye Jo paudhe hai, jo patte hai
Dekho ye sab jhoom rahe
Ye Khush hai tere aane se, ya tujhe aane se rok rahe...
Tu vichlit hai kya kisi baat se jo thahaake-krandan sab sΓ ath hai
Jara bata to mujhe aye ghata! kyu ye patthar wali barsaat hai...
Kyu ye patthar wali Barsaat hai??-