Tera tasavvur teri yaad
Mere saath hai hardam,
Tabhi to sochoon yeh
Zindagi itni hasee'n kyon hai maa.
Jab bhi tere janat bhare
Aanchal mein baith jata Hun aakar,
Toot ke bikhar jata hai
Ghamo'n ka pinjra Jis
Mein main qaid hota hun.-
Ek hasrat hai tujhe paane ki,
Or paakar rahunga.
Apne dil ki sadaa tere dil tak,
Pohuncha ke rahunga.-
Agar hoti aitbaar ke tutne se maut
Yeh duniyaa'n duniyaa'n nahi kabaristan hoti,
Iss ke tutne se mard nahi buzdil mara karte hain.
-
Ab to aalam ye hai deewanagi ka
har taraf deedar-e-yaar hota hai,
Gufatgu kisi aur se karta hun
chehra mere yaar ka hota hai.-
Pet bharna hai sahib apna ghar nahi,
Main to talabgaar hun bus mehnat ki rozi ka.-
Adaa rakhta hun dilo'n mein bus jaane ki,
Khudaa ka bakhsha ek he hunar kaafi hai.-
Teri mohabbat se na sahi,
Tere kirdaar se mujhe sadaa-e-wafa to aati hai.-
Kirdaar apna bemisaal rakhiye,
Andaaz fakirana shahenshaho'n waali chaal rakhiye.-
Apne hontho'n pe paigaa'm-e-mohabbat rakh,
Chhod de ladna bhidna yeh qatal-o-gaarat ka daman.
Yeh to bus dooriyaa'n he paidaa karenge tere mere darmiyaa'n.-
Insan hun khuda nahi,
Gustakhiyaa'n kar hi jata hun.
Vaakif hun achhi tarha,
Apni nadaaniyo'n se main.-