Laima Siddique   (Laimamurtaza)
3 Followers · 4 Following

Make life like poetry because if life is poetry then it will be very beautiful.
Joined 3 October 2020


Make life like poetry because if life is poetry then it will be very beautiful.
Joined 3 October 2020
3 NOV 2024 AT 14:38

Aaj fir ek baar kalam uthaya hai
Fr ek baar khud ko teri yaadon mein gum paya hai
Waqt ka pehra khud par lgaya hai
Dil ko Aitbaar-e-Mohabbat mein uljhaya hai ye Intezaar-e-Mohabbat hi toh h
Jo mujhe tujhse juda na kar paya hai
Kab tak karu intezaar kiya milega bhi kabhi intazaar-e-mohobbat ka ikraar ?

-


9 OCT 2023 AT 19:04

Sath nahi par pass hai
Tere hone ka ek ehsaas hai
Thodi duriya hai par
Un duriyon se toh ye khas hai
Tere hone ka ek ehsaas hai
Tere hone se ek aas hai
Kabhi na kabhi toh
Mulaqaten haq-e-ardas hai
Tera didar hi dil-e-ras hai

-


17 OCT 2022 AT 12:22


Maine tujhe tut kar chaha par
Tunne mujhe tod kar dikhaya
Mere lafzo ka mazak bnaya
Aur tamasha dil e Izhar bnaya
Tune usse thukraya dil e ghamzada bnaya
Mere hothon ki hashi ko ankho ki naami mein
Tabdil kar dikhaya

-


12 SEP 2022 AT 22:24

Mera woh piche mud kr tujhe dkhna
Pr tera na aana mera dukhi hojana
Or tere lafzo ka hashi banna
Ek aadat si ho gayi h apna hi mazak
Banwana aur khud roo kr chup hojana

-


23 AUG 2022 AT 19:55

Fir nikli thi
Teri taalash mai
Kayi khoj aur
Kayi aas mein

-


22 AUG 2022 AT 18:12

Khatam hui aaj meri taalash
Na chahte hue bhi tu hai pass
Hone ko toh bht hai aas
Lekin fir bhi dil hai udas
Kyu ke aab bhi tu na hai pass

-


10 AUG 2022 AT 12:51

Zindagi Azmaish h
Khuda ki nawazish h
Bando ki saazish h
Khush na rehna uski
Andheri Aatish h

-


7 AUG 2022 AT 23:30

Kayi dino se teri talaash h
Kayi waqt se teri aas h
Par tu na pass h
Fir bhi tere hone ka ehsas h

-


6 AUG 2022 AT 23:06

Mera usse chori chupke dil mein bsana
Aur humare nazro ka takrana
Aur nazro ka wo jhuk jana
Aur fir usse chori se dil mai chupana
Alag hi ehsas h aisa kar jana

-


23 APR 2022 AT 21:41


Aaj fir kalam uthayi h
Kayi zajbaat jagayi h
Jo soyi hui thi kayi raato se
Aaj usse is andheri subha mein fr uthayi h
Kayi logo ko dard sunayi h
Par rahat aab tk na aayi h
Kyu ke tunne kayi zajbaat jagayi h



-


Fetching Laima Siddique Quotes