Moving on is moving ahead.
A vision to explore forward. A choice of choosing oneself.
Choosing to be happy again.
Choosing to not be held back.
It's like a barefoot walk on the beach.
Loitering around , towards the waves.
But each imprint that you leave behind, doesn't fade while you're moving ahead.
Just like all the new moments to be lived, can not wash away the memories of past.
Magic of initial glances, connecting of the hearts,
Memories of bliss and tears, imprints of deep yet invisible scars.
The comfort of the known,
The essence of the connection.
Those reasons that led to friction,
And conflicts overcasting the affection.
But despite the lingering feeling of the familiar,
we choose to loosen the strings holding us back.
Vision of the future, walking past the past.
Choice of one's happiness, remoulding in the old cast.
-
Aaj mauka hai toh jee leejiye,
Kal ke intzaar mein guzar jaayegi.
Ye seekhti, samajhti si zindagi hai,
Yun hi pal bhar mein badal jaayegi.
Roz ek nayi khwahish kar baithti hai
Bina kuch kahey haath se nikal jaayegi
Ye khushiyon ki talabgaar zindagi hai.
Shayd toote, bikhre, par sambhal jaayegi.-
Jab dhoop itni tez ho,
Ke shareer par chubhne lage,
Toh chaun dhoondhna khudgarzee nahi.
Jab manzil itni door ho,
Ke raasta tanhaa sa lagne lage,
Toh saathi talaashna khudgarzee nahi.
-
Kisi ka sach,
Kisi ki kahaani.
Zindagi kisi aur ki,
Suni kisi aur ki zubaani.
Kuch aise hi toh hain,
Mere kisse aur tumhari kahaani..-
Tum toh gaye ho
Par wo ehsaas nahi
Kuch gungunaata hai
Wo pal, jo ab paas nahi
Koshish ki maine sunne ki
Par shayd ab tum khaas nahi.
Dil toota tha, sambhal gya hai
Aur aaj main bhi utni udaas nahi.-
Bada mushkil hai iss daur mein
Khud ke liye waqt nikaalna.
Waqt ko koi kaho
Zaraa toh tham ke guzrey..-
Iss umr ka kya hai,
Ek din guzar hi jaani hai.
Sadiyon ke liye qisse toh,
Ye zindagi chor kar jaayegi.-
यादों से सहारा अब नहीं होगा
लम्हें तो सिसकियों में गुज़र रहे
अपनों से किनारा अब नहीं होगा।
-
Na rishte sudharne ka vaada karte hain.
Na lamhe theherne ka vaada karte hain.
Na jazbaat sambhalne ka vaada karte hain,
Na dil dhadakne ka vaada karte hain.
Bss insaan hi hain jo badalte nahin,
Par badalne ka vaada karte hain.
-
Aaj thoda tum ruko,
Waqt guzar jaane do.
Aaj thoda tum haso,
Gham tham jaane do.
Aaj thoda tum khulo,
Bandishein mit jaane do.
Aaj thoda tum jiyo,
Zindagi guzar jaane do.-