Unhen apne dil ki khabren
mere dil se mil rahi hain,
Main jo un se rooth jaavun
to payaam tak na pahunche!
— % &-
Tum se pahle vo jo ik shaḳhs yahan taḳht-nasheen tha,
Us ko bhi apne ḳhuda hone pe
itna hi yaqeen tha,
Ab vo phirte hain isi shahr mein
tanha liye dil ko,
Ik zamaane mein mizaaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha!
— % &-
Hum tum mein kal doori bhi ho sakti hai,
Vajah koi majburi bhi ho sakti hai,
Sanam, mujh mein ye jo ik kami si hai,
Tum chaho to poori bhi ho sakti hai!
-
Bas ik jhijak hai yahi
haal-e-dil sunaane mein,
Ki tera zikr bhi aayega
is fasaane mein!
Kaifi Azmi
-
Dil aabaad kahaan rah paaye
us ki yaad bhula dene se,
Kamra veeraan ho jaata hai
ik tasveer hata dene se!
-
Ek baras bhi abhi nahin guzra,
Kitni jaldi badal gaye chehre!
Kaif Ahmed Siddiqui
-
Aaj ek aur baras beet gaya us ke baghair,
Jis ke hote hue hote the zamaane mere!
Ahmad Faraz
-
Dard ki dastaan abhi baaki hai,
Mohabbat ka imtehaan abhi baaki hai,
Dil kare toh phir se wafa karne aa jaana,
Dil hi toh toota hai,
Jaan abhi baaki hai!-
Love will still live in the hearts;
in her's as anger,
in mine as pain.-