Ek raat ka intezaar hai
Jo Kai dino ke intezaar ke baad aati hai
Jab purnima ka chand or tum
Sath dikhai dete ho
-
The Black and White Rainbow 🌈
Love is the only genre in writing which cannot be written until and unless felt
-
Meri qismat mein jo likha nahi tha
Usse bhi padhti rahi main
Kuch iss qadar apna waqt jaaya karne ki aadat hai mujhe-
The two stars shifted
In the middle
Cornering the moon
Why the moon should always
have all the attractions?-
Kuch chooth raha hai
Kuch milne ki umeed hai
Ab thora dukh manau
Ya thori si khush ho jau?
Issi kashmakash me uljha sa rehta hai
Naadan ye dil-
Kabhi lagta hai bus ab iss pal ko rok lu
Kabhi lagta hai ye pal jaldi se beet jaye
Samay hamare muthi me
hota to kitna acha hota na-
Sawan aaya
Par hum patjhar ke intezaar mein hain
Charo taraf hariyali hain
Par hum patto ke surkh laal hone ke intezaar mein hain
Kuch yad nahi
Or kuch bhul jane ke intezaar mein hain
Zindagi thehri si hain
Ek badlav ke intezaar mein hain
Yun toh badal gaya hain shehar
Ab bhi badlav ke intezaar me hain-