Unless these two pieces are together, no other pieces in this jig saw will ever make sense
-
Tu saath nahi toh koi baat nahi,
Tu pass nahi toh koi baat nahi,
Yehi kehte kehte kitne saal beeth gaye,
Par yeh kambakht teri yaad nahi jati-
Bahut kuch kehna tha unse, par keh na paye hum
Kuch shikve unke the aur kuch mere,
Bina suljaye yeh uljhan ulajthi rahi ...-
Tumhe paane ki koshish mein,
Kuch iss tarah kho gaye hum,
Abh agar pa bhi liya tumhe, kya fayda
Khudko kho chuke hum...-
Aaj phir woh raat aayi,
Bus rahi tanhaai,
Na tum the na hum,
Madhosh dil ki yeh dhadkan..
-
Har raat me abh likhti jaungi
Iss umeed me abh muskuraungi
Kehete hai log kalam ki takaqt hi kuch aur hai
Abh yeh bhi dekh kar aazmaungi!-
Dard kaise sahe
Dard kisse kahe
Har insaan pe yeh vishwas kare
Par khud pe na aitbaar kare
Dil aakhir tu kyun itna akela hai
Har raat inhi kashmakashon ka mela hai
Har koshish abh nakam hai
Sone ki abh na koi icha hai
Soye bhi toh kinhe dekhke khawabon me
Lagta hai jaise koi nasoor ki badhdua hai-