Khushnuma Ansari   (An unknown poet🔏)
14 Followers · 4 Following

Shohrat ki khwahish nahi hai, khushnuma
Yahan hum apna dil bahane ate hain
Joined 14 April 2019


Shohrat ki khwahish nahi hai, khushnuma
Yahan hum apna dil bahane ate hain
Joined 14 April 2019
24 JAN AT 11:22

Mai na keh saku'n na seh saku'n
Mere dil ka jo haal ho,
Kabhi mere qalb se pucho tum
Iss dil me jo fasaad ho,
You'n roobaroo ho tum mere
Aaina na talash ho,
Mere samne you'n bethe ho
Tumhari zaat na badnaam ho,
Shikwa bhi ho tumse
Tumse hi dil chiraagh ho,
Tum na ho to mai na hoon
Tum hi mera aap ho,
Mai hi bus dekhu'n tumhe
Aur nazro'n ko haraam ho,
Mere pass jo betho tum
Koi dusra na pass ho,
Ye ishq ki intehaa ho ya
Mera ikhtitaam ho,
Mai na keh saku'n na seh saku'n
Mere dil ka jo haal ho.
-Khushnuma Ansari

-


12 JUN 2023 AT 7:55

Meri zindagi ki hasrat'on me ek hasrat tum bhi ho
Meri zindagi ki awaaz me ek awaaz tum bhi ho
Tumhe kis lafz se pukara karu, khushnuma?
Meri sari ghazalon me alfaaz tum hi ho
Meri zindagi ki aas me ek aas tum bhi ho
Meri zindagi ke kaash me ek kaash tum bhi ho
Tumhe kis tarah se raaz rakhu, khushnuma?
Mere aqs-aqs me shaamil tum hi ho
Meri zindagi ke kaash me ek kaash tum bhi ho

-Khushnuma Ansari

-


8 MAY 2023 AT 3:26

Mundamil hai zakhm bohot se khudaya!
Thak gaye hain safar-e-hayaat se khudaya!
Hum khud apne aap ke dushman hain,
Duniya se kya nuksaan, khudaya!
Kamar kamzor hogayi jawani me,
Ab tera hi sahara talaash hai, khudaya!
Khud hi khud ko khaa rahi hai zindagi,
Maut se mera kya nuksaan, khudaya!
Milta hu aksar logo se muskura kar,
Ashq bhi ab khushq hain, khudaya!
Tu jo mil jaaye to sare masle hal ho,
Teri kun ka muntazir hoon, khudaya!
-Khushnuma Ansari

-


20 MAR 2023 AT 4:20

Reh gayi khwahishein sabki dil ke qabristaan me
Roti rahi shaam issi malaal me
Mar gaye khwaab sabki nigaaho'n me
Shikwa karti rahi chashm apne hi aap me
Qusoor dekhne walo ka tha ya dikhane walo ka?
Guzar gayi raat issi sawaal me
Ab jo bikhre khushnuma,
Kabhi simat na payenge
Reh gaye khaar-e-raah issi dhaak me
Ab mujhe dhyaan nahi aata apne hone ka,
Guzar gayi hasti issi malaal me
Ke ab to dil ko sukoon hi nahi aata
Likh diye haazaron shair issi aas me
Reh gayi khwahishein sabki dil ke qabristaan me,
Roti rahi shaam issi malaal me
Mar gaye khwaab sabki nigaahon me,
Shikwa karti rahi chashm apne hi aap me

-


9 JAN 2023 AT 9:20

Likhna chahta hoon mai bhi dastaan-e-hijr,
Tareeqi se izhaar bohot kar betha
Humne bhi dekhi hai tishnagi-e-dil,
Humne bhi azaab-e-tawaquf dekha
Na jaane ye haqeeqi me hota hai ya nahi?
Humne bhi khwaab me vasl-e-yaar dekha
Meri nadamat nahi zahir magar dard to hai
Mai bhi likh jaunga alfaaz shayaro'n jesa
Ke youn to Khushnuma gum-sum hai warna,
Gum chupakar bhi usse humesha hasta dekha
Ab jo guzre na laut aayenge lamhaat
Khaak se lipte murdo'n par bohoton ko rote dekha,
Mai jo ab sounga bohot dair baad,naaz!
Jese hadso'n me khoya ghar muddato'n baad dekha.

-Khushnuma Ansari

-


27 NOV 2022 AT 19:07

Usse dekh kar dekha phir kuch nahi
Uska tasawwur jeene ke lie kaafi hai
Uski puri mohobbat to hasil na huyi
Gar kuch hissa-e-ishq kaafi hai
Maloom hai khushnuma hujoom tumhe pasand nahi,
Tumhare liye ye dasht-e-tanhai kaafi hai,
Apne to un ke bohot se hain tumhare siwa bhi,
Unke dosto me hum shaamil hai, kaafi hai
Ab iss raah se na waapsi hogi janaab
Unka saath hai shaamil, kaafi hai
Usse dekh kar dekha phir kuch nahi
Uska tasawwur jeene ke lie kaafi hai
Uski puri mohobbat to hasil na huyi
Gar kuch hissa-e-ishq kaafi hai

-Khushnuma Ansari

-


14 NOV 2022 AT 5:45

Karlunga daulat-o-zar jama,
Uske baad kya?
Karlunga zubaan zad yahan,
Uske baad kya?
Chor kar maazi, karunga ishtiraaki khoob,
Lautunga phir ghar, uske baad kya?
Mashgool dawaton me hokar, sair karke sheher ki,
Jab letunga bistar par, uske baad kya?
Karlunga jama dost yaar bhi
Karlunga jama rishtedaar bhi
Jab maut khat-khataegi darwaza
Uske baad kya?
Khaak se bane jism, khaak miljayenge
Jab wujood bhi nahi rahega iss jahan me,
Uske baad kya?
Karlunga daulat-o-zar jama,
Uske baad kya?
-Khushnuma Ansari

-


18 OCT 2022 AT 17:20

Zakhmi dil ko zaruri hai humdard,
Tanha to koi kaamil nahi hone wala
Ab ye hasrat hi rahe to achha hai, khushnuma
Tera koi humraahi nahi hone wala
Raah-e-ulfat se jo tum kabhi na guzre
Ye shauq-e-safar kabhi khatam nahi hone wala
Unse kya umeed jo be-umeed kar gaye,
Dil se nikla hua dakhil nahi hone wala
Zindagani me to hota hai amal bhi lazim,
Ilm se hi koi faazil nahi hone wale
Zakhmi dil ko zaruri hai humdard,
Tanha to koi kaamil nahi hone wala
-Khushnuma Ansari

-


10 OCT 2022 AT 12:23

Mai kuch bhi nahi hoon tumhare liye magar
Dekh kar mujhe, tere zehan me aata kya hai
Dil rakhne ke liye do alfaaz kafi hain, khushnuma
Zara iqraar-e-mohobbat se tumhara jaata kya hai
Ab likhne ke liye darkaar hain aur bhi gum
Tumhare gum se dil ka jaata kya hai
Mar gaye tishnagi me peer,mareez sare
Zara si mohobbat se tumhara jaata kya hai
Qareeb se to kabhi samajh na paaye tum humko
Ab door se humdardi jatata kya hai
Zehan ke pardo me badkirdari ki shabeeh na bana
Gaur se dekhta jaa adab-e-ishq kya hai
Mai kuch bhi nahi hoon tumhare liye magar
Dekh kar mujhe, tere zehan me aata kya hai
-Khushnuma Ansari

-


17 JUL 2022 AT 4:15

Likh raha hoon barso se ek hi dastaan,
Dard zyada hai khat me nahi aayenge
Jese guzara hai maine safar-e-zindagi,
Lagta hai abhi marjayenge
Shayar nahi hota koi khushnuma,
Ye iqraar-e-jazbaat hai
Gum itne hai iss umar ke,
Ek lifafey me nahi aayenge
Duniya me dekhe hain chehre kayi,
Ab kisi behkawe me nahi aayenge
Likh raha hoon barso se ek hi dastaan,
Dard zyada hai khat me nahi ayenge
-Khushnuma Ansari

-


Fetching Khushnuma Ansari Quotes