bad times reveals the true ones
-
shayad khuda bhi khafa hua hoga jab usne humari kismat likhi
isiliye toh usne khushiyo ki jagah saare gum de diye-
thaama maine jis jiska bhi haath sabne haath chudha liye bari bari
jis par bhi kiya bharosa khud se zyada khambakt usine yeh dil tod diya-
jaha aapko lage aapki zaroorat nahi hai vaha se chupke se nikal jao
-
jis din se tum mere dost bane ho zindagi kuch iss tarah badal gayi hai
aankhen nam ho toh pehele tum yaad aate ho..
jab khush hoti hu toh sabse zyada tum hi yaad aate ho
mere hasi ke peeche ki chupi hui wajah tum ho
mujhe khud jo thoda bharosa hai vo bus tumhare wajah se hai
ek waada hum tum se chahte hai
kabhi haath na humara tum chodna
yu hi humesha saath rehena
mujhe khud se bhi zyada humari dosti pe naaz hai
-
mangne par toh sab milta hai par tu toh mujhe bin maange hi mil gaya..
ab chahe yeh jahan doob jaaye
par hum yeh dosti nahi doobne denge-
zindagi bhar saath rehene ka sapna toot gaya jab dekha tumhe kisi aur ke bahon mein sote hue
saare kasame vaade chut gaye jab dekha tumhara haath kisi aur ke haato mein-
kaash vo pal phir se aa jaye
jaha mera haath tumhare haaton mein ho
jaha teri nazre sirf mujhe hi dhoondti ho
jaha mein roothu aur tum mujhe pyaar se manao
jaha mere bin kahe tum samajh jao
kaash vo pal phir aa jaye
kaash wo waqt aake wahi ruk jaaye-
chahe mein aapse har baat share na karu lekin jab bhi udas hoti hu sabse zyada yaad aap hi aate ho
chahe mein aapko roz call na karu par ghar aane par sabse pehele mein aapko hi dhoondti hu
aapko lagta hoga ki aap yaad nahi aate ho par papa yaha mumma ke khaane se zyada aapki godhi yaad aati hai
mein aapse roz baat nahi karti hu
par papa i love the most yeh humesha kehana chahti hu-