Kyu kahun apni Dil ki baat kisise,
Kya karun main shikayat khuda se,
Wo log jo mujhe samajhne ka dawa karte h,
Asal mein Mujhse pyaar karne ka dikhawa karte hain,
Aur kyu kahu main kisise apne dil ki koi baat,
Jinhe lagta hai ki jhooti hoon main aur jhoote mere saare muskilaat...
-
Life...
What I wanted, What have I got,
It started with why, It ended with but...-
Uss par haq jatane ka haq ab nahi hai mujhe,
Hadd toh ye hai ki ab wo mere haq mein hi nahi...-
Har lamha mujhme samaya hai,
Maine kismat ko kayin baar aazmaya hai,
Kho diya maine sab kuch iss jahaan mein reh kar,
Tu hi bata de ki akhir tune kya paya hai...?
-
Kyun andhera bhi mujhe ab bhaane laga hai,
Yun akelepan mein hi sukoon aane laga hai,
Har dard ki dawa milti nahi baazaar mein,
Isliye ab dard mein hi majaa aane laga hai...-
Itna asaan nahi tha ek rishte ka toot jana,
kuchh galtiyaan unki bhi thi, kuchh kusoor hamara bhi tha...-
Kalam haath mein hain,
Par haath thehre hue hain,,
Lagta hai kisi apne ke diye dard se,
Ghav gehre hue hain....-
zindagi ka ye pal na hamse gawara hua,
Na ham kisi ke ho sake, Na koi hamara hua...-
Ek ajeeb si mayusi ke kagaar par khade hain aaj ham,
na jane uske chale jane ka gamm kyu hai jo kabhi hamara tha hi nahi...-
badi mukhtasir si hoti hai ye zindagi yaro,
Inn lamhon ko jara muskura kar gujaro,
tut rahe hain jo rishtey bikhar kar tumse,
waqt de kar jara aaj tum unko sawaro...
-