Kitab ne pukara, aa rang bhar le,
Kashti ne bulaya, aa sang chal le,
Fasla Zara sa hi tay kiya tha ke,
Vakt muskuraya, sab kuchh peeche chhod de-
Aksar sannato me dikhti hai,
Yuhi andhero me sunai deti hai
Bandh ho aakhe to saamne aati hai
Zara si Khulte hi kahi ojal ho jaati hai
Kitni ajeeb hai na ye yaadein?
Aksar muskaan ke pichhe chhup jaati hai
-
Jab chal raha tha, raah me raaste the do,
Ek tha logo se bhara, chal pada akela wo,
Bhatke mile kai, unko dikhayi raah sahi thi jo,
Tanhai liye fir chal pada, manzil bas maut ho-
Aazad parinde ne ked hona chuna
Jab aasman se hoor ne zamin ko chuma-
Aaj bade arse baad chand nazar aaya hai,
Khuli aankho se ek khwab nazar aaya hai,
Gumnam sa rahi aaj fir nazar aaya hai,
Ek nayi ummeed ka aks aaj nazar aaya hai-
Suna hai ki saanse kam pad jaati hai,
Jab nigahe ajnabi pe atak jaati hai-
Lagta hai lakire jodne bheja hain,
Khuda ne kisi to maksad se bheja hain
Har safar se mukammal kuchh to hain
Har baar khudse bikhra kuchh to hain
Badi hi dilchasp dastane likhi jaati hain
Har ant me ek manzil to chhini jati hain
Musafir fir kisi nayi sadak par dikha hain
Lagta hai fir kahi koi to bikhra hain-
Bedaag kisko bolu, e chand
Daag to tujme bhi hai na
Bewafa kisko bolu, e parwane
Shama ko chhod to tu bhi jata hai na
Zinda kisko bolu, e insaan
Murde ki tarah zinda to tu bhi hai na-