Jise jhagda pasand hai janaab
Use aman kahan raas aayega
Tum karo sauda sukoon se beshaq
Woh fir khurafaat bankar aayega-
Khaufzada tha main
ae waqt tere mijaaz se
Fir khud hi ko khauf kar liya
Zinda rehne ke lihaaz se-
Sabr se suna har besabr ko
maine ab talak
Aur ab main sabr kho doon
toh besabr na kehna-
Itna sambhala khud ko
Ki ek din kho diya
Jo bana kar khush tha mujhe
Aaj behisaab ro Diya
Aur haal, ab kuchh aisa hai
Ki main khud ko nahi jaanta
Hoga koi, mera bhi khairkhwah
Kasam se main nahi maanta
-
Taalluq apni jagah hain kafi
Kya fiqr, ki sab kya kahenge,
Hum khud ke na ho sake agar
Fir kisi ke naa ho sakenge-
Kuchh shagufta
humse bhi rakkha kar, ae zindagi
Ek umra guzar di
Aur hum, khudko bhi nahi jaante-
Jung mein hoon ek arse se
Ek umra barbaad kar aaya hoon
Fateh se koi talluk hi nahi hai mera
Aur ab tak haar bhi nahi paaya hoon-
Mashroof hain dikhawe mein iss qadar
Haqikat se kahan kisi ka vaasta hai
Yeh kar toh rahe hain mushafiri beshaq
Sach yeh hai ki na manzil hai na raasta hai-
Tu ab bhi Koshish mein hai
mujhe jeetne ki
Main ab bhi intezaar mein hun
haar jaane ke-