Mujhe Kya
-
Jo wo na idhar gaye
Na udhar gaye
TO HUM KYA KARE
Ghar jane nikle the
Mar gaye
TO HUM KYA KARE
-
Teri haan-naa me rakha kya hai
Ke apna jo bhi hai ektarfa hai.
(Full poem in caption)
-
Hum hai sitamzadaa
Hum par sitam aur sahi
Raqeebon ke alam se milte julte
Doston ke karam aur sahi
-
kHud kO mIta dOo-n sHaher jAlaa dOo-n
kE tAkht-o-tAaj hIlaa dOo-n mAin
kYa kAroo-n sOorat-e-hAal bAdloo-n bHi
kE cHup cHaap dEkhta rAhoo-n mAIn
-
Aur ek dhoke ke baad
Aur Ek move on
Aur Ek fareb ke baad
Aur Ek move on
Ab kya farq padta hai
Kitne dhoke
Kitne move on
-
तेरे मुंह से कुछ युं लगा
लफ्ज़ ए मुबारक
जले ज़ख्म पर ज्युं
लगता है खड़ा नमक
-
Bade se kisi ghar me
Mezbaan bina ho mehmaan
Aisa hai seene me
Dil pareshaan
Aise hai apne andar
Ham hairaan
-
RaatOn ko jaagNe ka hunAr
kOi usSe poocHe
UsEy shaAm dhalTe hi
PaighAm aaNe lagTe hAi
PhIr raAt bhAr wo
ik khwAb se aAne aur
Ik khwAb me jaAne lagTe hAi-