Mil jayege ager hum kal tumse,
Na jane kya batein hongi,
Gum sum si jo ho gayi hain hansee,
Kya us se phir mulaqatein hogi,
Tum kahate the hum nahi milenge,
Dil ki dil me hi rakh lenge,
Ab jo waqt phir aaya hain,
Do ajnabiyo ko phir sang laya hain,
Kya in khamoshiyo ko zubaan milengi,
Kya ab is zindagi ko zindagi milegi,-
Mere dil me jo hain kuch kachha sa
Tere aks ka hi to asar hain
Teri aankho ki gahrayeyaan
Ek sukun bhara safar hain
Lafz nahi khulate the mere
Tumne to hasna sikha diya
Ek adhuri si dhadkan ko
Tumne dhadkana sikha diya.
------Kavita------
Tamanna to hai ki sab kuch mil jaye Zindagi me,
Par Khwahishen Jo adhuri hain,
Unhi se to Zindagi Puri hain..-
Jo dil me tha woh zubaan per nahi aaya,
Ek khwab bhi tha,jiska khayal nahi aaya,
Shab guzarati rah gayi saher ki talash me,
Per kuch khato ka kabhi jawab nahi aaya....-
Sitaro ke aage jaha aur bhi hain,
Kahi na kahi ek aasma aur bhi hain,
Milege milege ye do ajnabi kabhi na kabhi,
Is mohabbat ke kai inteha aur bhi hain..
-
Har Saher Shab guzarane ka sabab hain,
Ye mulaqat dooriyan khatam hone ka asar hai,
Narajagi ki umra nahi hoti lambi,
Bas is intezar ke fana hone ki talab hai...-
Kuch baatein kabhi kahi thi humne bewajah ,
Kuch mulaqate ho gayi thi der tak,
Hum to aaj bhi khamosh hain,
Per ye aankhe chup nahi rah pati bewajah...-
Adhure zazbato ka pata dhoondh rahe the hum,
Per gumshudagi ke alawa kuch hath nahi aaya,
Ab ek aah si dil me uthti rahti hain,
Aur afsos fana nahi hota......-
Khamoshiyo ki goonj ka ahsaas sabko nahi hota,
Dil ki dhadkane apna thikana khud dhoondh leti hain....
-
Aye meri taqdeer kuo hain tere aise faisale,
Na chahte hue bhi kuo badh rahe hain ye fasale,
Tera yu dur chale jana humein gavara nahi,
Tujhe bhul jana hamare bas me nahi,
Kya ye kuch alfaaz and zazbaat ankahe rah jayenge,
Kya ye do ajnabi ab nahi mil payege....-