Sitaare dono taraf hai
Bas thoda asmaan saaf karna hai-
But an old learner.
Bant diya is dharti ko kya chand sitaro ka hoga
Nadiyon k kuch nam rakhe behti dharo ka kya hoga
Shiv ki ganga bhi pani he Abe zam zam bhi pani he
Mullah bhi piye pandit bhi piye pani ka mazhub kya hoga
In firka pariston se pucho kya suraj alag banaoge
Ek hawa me saans he sabki kya hawa bhi nayi chalaoge
Naslo ka kare jo batwara rehbar vo kom ka dhongi he
Kya khuda ne mandir toda tha ya raam ne masjid todi he?-
U May not have anyone with whom u can share your feelings with but atleast this aloneness gives you peace and pleasure. The right one will find you if it's written for you. The world has billions but you need someone who's one in millions.
-
Zindagi tu bata itni naraz kyu hai
Har taraf is sannate ki awaz kyu hai
Pal pal tadpati he ye awaze mujhko
Is khamosi me ik raaz kyu hai.-
Tujhme kuch baki sa mera
Mujhme pura ho jau kya?
Khud me khud tak, khud me khud tak
Mai khud me khud bas, kho jau kya?-
Rona he rok liya behisab dard hote hue bhi
Nahi me mazboot nahi hoon
Mere ird gird kamzor kandhon ka karwan hei-
Mehsoos hua un khilono ka dard
Jab kisi ne yuhi khel kar chhod diya-
Jiski jaisi niyat vo vaisi kahani rakhte hein,
Koi parindon ke liye bandookh to koi halak se utarne wala pani rakhte hein.-
Bas do pal ki bechaini he
Firse waise ho jayenge
Kyu milte ho pachtate ho
Kyu ahat se aa jate ho
Hum to jalte rehte he
Yoon jalte jalte kho jayenge
Rakh se pahle nikale aansu
Bas isi se bujha kar so jayenge.-