Mile thai khawab jaise
Hakikat rula gai
Tum khawab hi ache-
Bas meri zindagi ke
Kuch kissey inn panno par hai
Kisi farishte se nahi milna mujhe
Insano ke bazar mai bas
Ek sacha insan hi mil jaye
Kaafi hai...-
Rishton ka manjha pairo se
Yu lipta
ki siskiyan bhi na nikal pai
Bas honth tharthrate hi reh gaye-
Ke aab bazaar sa ho gaye hai
Lagte toh roz hai
Par pasand nahi karte log-
Samjh ni aata apne bebasi pe roon ya hansoon . Ansoon bahau ya chupke se sisakiyan takiye mai dabbakar rote rote so jau . Meri kismat mai pyar hona hi meri badnasibi hai , wo insan hmsha mujhe hi dard deta rhta hai jiske ek dard ki aah bhar se mujhe dard hota .
Par wo insan mere dil ke dard ko smjhta tak nahi ki uski harkate mujhe roz takleef ke alawa kuch ni deti.-
5 din๐
Banwat thodi hi agal thi par mere jivan ka saar badlne ke liye kafi tha. Ladki thi to har mahine 5 din dard ke naam ke hote thai ...ye dard ho toh bhi bhaala na ho toh aur chinta . Ye jatano bhara dard kiyu sahoon kai bhar khud se sawal kia par jawab aaya meri bhi maa ne sab Saha unko bhi dard hota hoga aur mre agye aane wali ko bhi dard hoga . Khud ke adar ka kachra girta dekh ghin kam , aram jyda aata hai .
Hoon ladki , maa , bahu , beti sab tm bhi khyal rakho mra mere dard mai bhi hath thamo mra, rone lagoon toh sek bano mera , khaadi na ho pao toh baitha dena , khana na bana sakoon toh khud pyr se bana kar khila dena , jaise mai saya ban kar har waqt hoti hoon hmsha sth tmhre, mere bhi sir par pyar se hath phair dena. Mere dard ka thoda ilaj tum banna , jyda nahi bas 5 din mera khayal tm rakhna.-
Mai guzar gaya toh kya hua tum
Yaad to waise bhi karte nahi
Chalo marne par hi mulaqaat hui
Wakai duniya itni bhi zalim toh nahi
Bolta raha wo
"Bulati hai magar jane ka nahi " aaj khud bin jane se pehle bataya tak nahi-
Mujhe tum ache nahi lagte
Tum kabhi na sath aate ho
Tum kabhi na haal puchte ho
Tum kabhi na dhaal bante ho
Tum kabhi na rumaal bante ho
Rote hai toh haste ho
Girte hai toh Girne dete ho
Koi takleef de toh bhi nahi usko rokte ho
Sach jankar bhi jhoothe ko kuch na kehte ho
Tum sab jankaar bhi har bar
Anjano ki tarha hi meri barbadi dekhte ho
Tumko Na mri khushi ki parwaha
Na taqleef ki khabar hoti hai
Mai kitna bhi karoon tumhre liye
Tumhre mann se kabhi tumhre dil ki
Baat kabhi na niklti hai
Aisi bhi kya hai dushmani humse
Hum jhukk jate hai har bar
Kabhi to tum bhi jhukkar humai uthya kro
Har bar haste ho rone par
Kabhi toh saath baith hasaliya kro
Kiyu na dikhta tumko mera
Samandar sa gehra pyar
Kya itni jyda badi hai
Ye umar ki fasle ki hai deewar-
Kash tumhe kabhi toh meri yaad aati
Aadhi se chand ki roshni mai mai baith
Sabse agal hokar jab bhi tum ekant mai
Baithte ho
Jahan bas hawa ho , na dusra pass ho
Tum khudse hi khud ki baatein karna
Chahte ho par chah kar bhi tum
Karna pate ho , bas tum ek wo bawra sa insan
Yaad aaye , kiske sath beetein lamhe tum
Chah kar bhi na bhool pate ho
Akele mai bas uske hi kisso par muskurate ho
Kabhi nadaniya kabhi shaitaniyan
Sab yaad kar khud ka dukh bhul jate ho
Kya kabhi haal bhi puchte ho
Jiski nadaniyo par kehkahe jo tum
Akele baith kar lagte ho
Yaad bhi nahi karte , baat bhi nahi
Kabhi bhi uske mann ki koi baat tak nahi samjhte ho
Kabhi to swarth chod , uska bhi haal le liya kro
Jyda nahi par kabhi kabhi koi baat puch liya kro
Jyda toh tm de sakte nahi
Thodi hi khushi se bhi kiyu
Tum kiyu itna dene mai bhi darra karte ho-