Kon phir dil lagae,
Kon phir sapne sajae.
Kon phir kisi ki ek khushi ke lie,
Apna har sukh daav pe lagae.
Are matlab ka shaher hai sahab,
Kon phir uss chorahe par jaakar,
Apna masoom sa dil tudvae.-
Teri Khushi mein jitna main jhoomo,
Utna vo khush ho lega kya.
Tere dukh mein jitne aasnu main baha du,
Utna vo ro lega kya.
Are teri ek muskaan ke lie,
Apna sab luta du.
Are vo itna sab kuch kho lega kya?-
Dil dia tha tumko,
Apni jaan bhi de dete.
Paise dolat Ki to tum kya baat karte ho,
Tumhari khushi khaatir to,
Hum khud ko nilaam kar dete.-
Ki zindagi mein chote bohot khai,
Ek dhoka pyaar ka bhi sahi,
Girr kar uthna, sikha hai zindagi mein,
Ab haar maan'ne ka, to matlab hi nahi.-
Ab mohabbat kisi se kare bhi to kaise
Pyaar mein dhoka jo khaaye baithe hai.
-
Aankhe band kar, andhere mein unn par yakeen kia,
Apni jaan, dil, sab unko dia.
Hum karte rahe, mohabbat beshumaar unse,
Aur badle mein, unhone hume, sirf dhoka dia.-
Jo Marta tha har pal tumpe,
Ab uske bhi marne ka waqt aa gaya hai.-
Ki ladta hu khudse,
Ki mohabbat tu hadh mein na kar saka,
Dhoka khaa kar bhi bewakoof,
Tu ab tak usse nafrat na kar saka.-
Pyaar khub kara maine,
Uss pyaar mein dhoka khaa kar bhi dekha.
Uss atulya kahe jaane waale pyaar ko,
Paiso mein maine tulta bhi dekha.-
After another sleepless night,
The heart decided,
Waiting for you, will always be right.-