Chand k piche kyun jain wo toh sitaron mai ghira hain hume jugnuo se pyar hai Zameen pe thikana hai.
-
Bandh kamro mai khule khidyon se khaab dekha karte hain, Andhere kamro mai apne sapno k diye jalaya karte hain..
-
Covid ke vikash me apna vikash khote ja rahe hain, lohe ki cylinderon mai apni jaan liye jaa rahe hain, ab bas samaj nahi aata wo humein chahta hai ya Humse kuch chahta hai.
-
Zindegi mai khusi dund ne mai kuch yun uljhe hue hain ki, jin ulzano ko suljane se khusi milti unhi ko nazarandaaz karte ja rahe hain.
-
Makdi ke jaalon ki tarah khud me hi uljhe hue hai unko suljhane ki kosish mai aur ulajhte ja rahe hai
-
Jis tarah saya andhera me dikhta nahi par sath rehta hai usi tarah hum bhi zahir nahi kar pate par pyar bahut karte hai.
-
Unhein bhulane ki koshish me aur yaad kar baithe, Unse milne ki koshish me khud ko hi kho baithe.
-
Ajj apne hi andar dhund ke dekha toh kuch unki hi kahi hui Baatien aur yaadein mili jinhe hum bhul toh gaye the par bhula nahi paye the.
-
Ab na mai tumhe pochinki mai chupa milunga,naah toh kahin tumhe knock milunga, Na hi call kar lobby mai aane bolunga, na hi 8x awm mai attach kar paunga.
-