Buri adat hai hamari,
Kushiyon ko adat bana lena,
Kabhi mehsoos kr lete hain
vo Khushbu tumhari,
Jese barish ka uss mitti ko chu lena,
Unn jagahon Per Mehsoos krlete hai
Aksar
Manno unn palon ko phir jee lena
Yaad kr harkoton tumhari
Kabhi dil se mushkura dete hain
Mano unn Yadon ko gale mila lena
Han bath Sahi hai Zamane ki
buri aadat hai hamari
Kushiyon ko adat bana lena.
Khushiyon ko adat bana lena-
Shehar meh vo bath kahan
Kahe vo yaar mera ,
K Shehar meh Channa dikhta hai kahan.
Shehar meh vo bath hai kahan,
Hum dil he dil meh mushkura k kahe
Yea bath Channa ko malum hai kahan !
hamare nazariye se Dekhiye,
K Jo Noor mere yar meh ,
vo bath channa meh kahan !-
Kuch batein thi jo Milke tumhe batani thi,
Kuch halat the dilke jo milke tumhe sunani thi,
Per shayad uss takdeer ki yea Shazis,
Hamare halat phir Hame yaad dilani thi,
Waqt jo subke pass nahi to
Ab lout Gaya hun phir Wahi sadkon per
Jahan bus hum the, Bhikhra vo dil tha
Shayad kismat ko meri bus meri auqat dikhani thi.-
Lo jod diya vo jo bhikar gaya tha
Han der pe tumhare, Dil apna phir layein hain !
Nahi sambhal paoge iss bar bhi, yea malum hai hame
Isiliye , bus tukdon ko jod ,dhadkan ko chod aayein hain !
Han Dil apna phir layein hai ...
Der per tumhare ,Dil apna phir layein hai...-
Tumhe dekh,
Agar na jee hoti
Zindagi ek pal mei tumhe dekh,
To shayad ab her pal
Zindagi ki talash na hoti-
Han ,dheere dheere shayad bhool to raha hun tumhe,
Verna, Yun he koi zindagi jeena nahi chodta
Sansein to leta hun
Lekin han ,uski oolti ginti nahi chodta-
Mera Ishq nahi shayad mein he galat tha,
Apni kushi ki sochta to shayad tu sath hota.
Bewakoof na hoker , khudgarz hota
To shayad tu sath hota.
Per ab jo tumhari kushi ki qadar ki hamne,
Dekho ab na tum ho zindagi meh aur
Na koi zindagi hai zindagi meh.
-
Jub manna lun inn sanson ko
Mein ruk jane ko,
Shayad tub mei tumhe
Bhula paun...
Verna yea kambaqt dil
Bath manta he nhi ,
Yun her dadkan mei tera
Ahsaas dilata h ....-
Tere sath rehne ki Chahat mitta di h humne
Ab sath rehne ki chahat mitta di h humne
Han kuch waqt thadpe the hum bhi ,Lekin
Chah se ab apni zindagi mitta di h humne.
-
Aaj phir unn galiyon se guzra
Jahan vo mera kabhi Dil bass Gaya tha
Unn rahon se Aaj bhi Parichay h mera
Jahan kahin apni sansein chod aaya tha
Taqdir Ko meri Aaj bhi talash h uski
Jisne kabhi meri Ruh Ko mutaasir Kiya tha-